ye nafraten kyon
ye nafratoñ kī binā jaane kis ne Daalī hai
mohabbatoñ se bharā hai vatan kā har zarra
havā chale to har ik ghar ko
zindagī de de
ghaTā jo barse to banjar zamīñ harī kar de
bahār aa.e to dekhe na shaah aur na faqīr
guloñ ke rang se dhartī kī
godiyāñ bhar de
ye nafratoñ kā chalan phir kahāñ se aaya hai
kabhī ghaTāoñ ne ye bhed-bhāv rakkhā hai
havāoñ ne kabhī dair-o-haram ko parkhā hai
sahar kī dhuup na soche kahāñ nikalnā hai
na chhāñv dekhe kisī rāhgīr kā mansab
to phir ye zahr kī būñdeñ kahāñ se aa.ī haiñ
kisī ke saath zarā duur chal ke dekho to
kisī ke haath ko hāthoñ meñ le ke dekho to
kisī ke dard ko palkoñ se chun ke dekho to
haTā do āñkhoñ se parde ye nafratoñ ke agar
sab ek sā lage ka.aba ho yā kalīsā ho
na koī raam kā mandir na bābarī masjid
na gurudvāre ke dar par kisī kā pahra ho
diloñ ko jhukne jhukāne kā fan agar aa jaa.e
jahāñ se tafarqa-bāzī kā har chalan miT jaa.e
'ashok'-o-'akbar'-o-'gautam' ne farq kab rakkhā
chale the 'jauhar'-o-'gāñdhī' bhī ek saath sadā
liye 'javāhar'-o-'iqbāl' prem kī sauġhāt
ye sach hai
nānak-o-chishtī kā ḳhvāb ek hī thā
to un ke ḳhvāboñ kī ta.abīr kyoñ na sach kar deñ
mohabbatoñ se zamāne meñ raushnī bhar deñ
ye nafraton ki bina jaane kis ne Dali hai
mohabbaton se bhara hai watan ka har zarra
hawa chale to har ek ghar ko
zindagi de de
ghaTa jo barse to banjar zamin hari kar de
bahaar aae to dekhe na shah aur na faqir
gulon ke rang se dharti ki
godiyan bhar de
ye nafraton ka chalan phir kahan se aaya hai
kabhi ghaTaon ne ye bhed-bhaw rakkha hai
hawaon ne kabhi dair-o-haram ko parkha hai
sahar ki dhup na soche kahan nikalna hai
na chhanw dekhe kisi rahgir ka mansab
to phir ye zahr ki bunden kahan se aai hain
kisi ke sath zara dur chal ke dekho to
kisi ke hath ko hathon mein le ke dekho to
kisi ke dard ko palkon se chun ke dekho to
haTa do aankhon se parde ye nafraton ke agar
sab ek sa lage kaba ho ya kalisa ho
na koi ram ka mandir na babari masjid
na gurudware ke dar par kisi ka pahra ho
dilon ko jhukne jhukane ka fan agar aa jae
jahan se tafarqa-bazi ka har chalan miT jae
'ashok'-o-'akbar'-o-'gautam' ne farq kab rakkha
chale the 'jauhar'-o-'gandhi' bhi ek sath sada
liye 'jawahar'-o-'iqbaal' prem ki saughat
ye sach hai
nanak-o-chishti ka KHwab ek hi tha
to un ke KHwabon ki tabir kyon na sach kar den
mohabbaton se zamane mein raushni bhar den
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.