Sher of A. D. Azhar
thā jis pe naaz kabhī ab vo aarzū na rahī
niyāz-e-'ishq kī pahlī sī aabrū na rahī
tha jis pe naz kabhi ab wo aarzu na rahi
niyaz-e-'ishq ki pahli si aabru na rahi
tū ḳhvāb hī meñ sahī aa ke ḳhud javāb to de
bujhī bujhī sī mirī aarzū ko aab to de
tu KHwab hi mein sahi aa ke KHud jawab to de
bujhi bujhi si meri aarzu ko aab to de
vo kahte haiñ kuchh der hai faisle meñ
ki 'ushshāq kī 'arziyāñ aur bhī haiñ
wo kahte hain kuchh der hai faisle mein
ki 'ushshaq ki 'arziyan aur bhi hain
vo bulāte to haiñ mujh ko magar ai jazba-e-dil
shauq itnā bhī na baḌh jaa.e ki jaa.e na bane
wo bulate to hain mujh ko magar ai jazba-e-dil
shauq itna bhi na baDh jae ki jae na bane
tujh se judā hue to tirī yaad baḌh ga.ī
āzād ho ke qaid kī mī'ād baḌh ga.ī
tujh se juda hue to teri yaad baDh gai
aazad ho ke qaid ki mi'ad baDh gai
mirī 'āshiqī sahī be-asar tirī dilbarī ne bhī kyā kiyā
vahī maiñ rahā vahī be-dilī vahī rang-e-lail-o-nahār hai
meri 'ashiqi sahi be-asar teri dilbari ne bhi kya kiya
wahi main raha wahi be-dili wahi rang-e-lail-o-nahaar hai