Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
A G Josh's Photo'

A G Josh

1928 - 2007 | Lahore, Pakistan

Sher of A G Josh

guzre jo apne yāroñ sohbat meñ chaar din

aisā lagā basar hue jannat meñ chaar din

guzre jo apne yaron ki sohbat mein chaar din

aisa laga basar hue jannat mein chaar din

merī barbādī meñ hissa hai apnoñ

mumkin hai ye baat ġhalat ho par lagtā hai

meri barbaadi mein hissa hai apnon ka

mumkin hai ye baat ghalat ho par lagta hai

Thukrā ke chale jaanā hai bar-haq tumheñ lekin

bas rakhnā ḳhayāl itnā jahāñ ko na ḳhabar ho

Thukra ke chale jaana hai bar-haq tumhein lekin

bas rakhna KHayal itna jahan ko na KHabar ho

ishq kachche ghaḌe pe Duub gayā

lamha jab intizār aayā

ishq kachche ghaDe pe Dub gaya

lamha jab intizar ka aaya

jo faqr meñ surūr hai shāhī meñ vo kahāñ

ham bhī rahe haiñ nashsha-e-daulat meñ chaar din

jo faqr mein surur hai shahi mein wo kahan

hum bhi rahe hain nashsha-e-daulat mein chaar din

uḌ ga.e aas ke sabhī panchhī

jin dil meñ mire baserā thā

uD gae aas ke sabhi panchhi

jin ka dil mein mere basera tha

aa ga.e dil meñ vasvase kitne

vaqt jab e'tibār aayā

aa gae dil mein waswase kitne

waqt jab e'tibar ka aaya

Recitation

Speak Now