Dohe of Aadil Aseer Dehlvi
ḳhidmat se ustād kī rahtā hai jo duur
chehre par us ke nahīñ achchhā.ī kā nuur
KHidmat se ustad ki rahta hai jo dur
chehre par us ke nahin achchhai ka nur
kyā nādāñ se dostī kyā daanā se bair
donoñ aise kaam haiñ jin meñ nahīñ hai ḳhair
kya nadan se dosti kya dana se bair
donon aise kaam hain jin mein nahin hai KHair
-
Tag : Poetry For Children
ammī hoñgī muntazir aur kahīñ mat jaao
chhūTo jab schōl se sīdhe ghar ko aao
ammi hongi muntazir aur kahin mat jao
chhuTo jab school se sidhe ghar ko aao
-
Tag : Poetry For Children
gaalī denā paap hai Thiik nahīñ tauhīn
auroñ ko kar ke dukhī ḳhud hoge ġhamgīn
gali dena pap hai Thik nahin tauhin
auron ko kar ke dukhi KHud hoge ghamgin
-
Tag : Poetry For Children
zaat paat aur dharm kī Thiik nahīñ takrār
bhuul ga.e kyoñ aaj ham sadiyoñ kā vo pyaar
zat pat aur dharm ki Thik nahin takrar
bhul gae kyon aaj hum sadiyon ka wo pyar
-
Tag : Poetry For Children
dushman bhī hairān hai kar ke laakh bigāḌ
terī marzī ke binā hiltā nahīñ pahāḌ
dushman bhi hairan hai kar ke lakh bigaD
teri marzi ke bina hilta nahin pahaD
-
Tag : Poetry For Children
jo raah kī achchhī hai udhar jaatā hai
bach kar vo burā.ī se guzar jaatā hai
paḌh kar hī to aatā hai salīqa bachcho
tā'līm se insān sudhar jaatā hai
jo rah ki achchhi hai udhar jata hai
bach kar wo burai se guzar jata hai
paDh kar hi to aata hai saliqa bachcho
ta'lim se insan sudhar jata hai
-
Tag : Poetry For Children
ban kar aa.e āḳhirī jag meñ aap rasūl
pesh kiye haiñ aap ne achchhe nek usuul
ban kar aae aaKHiri jag mein aap rasul
pesh kiye hain aap ne achchhe nek usul
-
Tag : Poetry For Children
saa.il ko dhutkārnā baat nahīñ hai Thiik
dar par aa.e jab gadā de denā kuchh bhiik
sail ko dhutkarna baat nahin hai Thik
dar par aae jab gada de dena kuchh bhik
-
Tag : Poetry For Children
manjan yā misvāk se rakkhoge gar saaf
daañt chamakte pāoge motī se shaffāf
manjan ya miswak se rakkhoge gar saf
dant chamakte paoge moti se shaffaf
-
Tag : Poetry For Children