Dohe of Aarsi
jaisā us kā krodh hai vaisā us kā pyaar
alag alag hotī nahīñ do-dhārī talvār
jaisa us ka krodh hai waisa us ka pyar
alag alag hoti nahin do-dhaari talwar
dhyān rakhe chintā kare ye hai us kī riit
naarī ke sanvād ko samajh na lenā priit
dhyan rakhe chinta kare ye hai us ki rit
nari ke sanwad ko samajh na lena prit
kab tak Dhotī yaad kī tasvīroñ kā bhaar
itnī kīleñ Thok diiñ TuuT ga.ī dīvār
kab tak Dhoti yaad ki taswiron ka bhaar
itni kilen Thok din TuT gai diwar
yādeñ tirī na kaT sakīñ kaaT diye nāḳhūn
bhīñch bhīñch kar muTThiyāñ aane lagā thā ḳhuun
yaaden teri na kaT sakin kaT diye naKHun
bhinch bhinch kar muTThiyan aane laga tha KHun
nanhe bālak jaisā man meñ rahtā hai santāp
jaage to shaitān bahut hai so.e to nishpāp
nanhe baalak jaisa man mein rahta hai santap
jage to shaitan bahut hai soe to nishpap
nadiyā sūkhī duvesh kī priit kare badlāo
aar mil gayā paar se ḳhatm huā algāv
nadiya sukhi duwesh ki prit kare badlao
aar mil gaya par se KHatm hua algaw
kaan agar hai terī merī samā.atoñ kā saaz
vīrāne meñ peḌ gire to hogī kyā āvāz
kan agar hai teri meri samaaton ka saz
virane mein peD gire to hogi kya aawaz
sūraj jab sar par chaḌhe dhuup pasāre paañv
lauT aatī hai jism meñ saham ke merī chhāñv
suraj jab sar par chaDhe dhup pasare panw
lauT aati hai jism mein saham ke meri chhanw