Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Aatif Waheed Yasir's Photo'

Aatif Waheed Yasir

1985 | Lahore, Pakistan

Sher of Aatif Waheed Yasir

ishq jaise kahīñ chhūne se bhī lag jaatā ho

kaun baiThegā bhalā aap ke bīmār ke saath

ishq jaise kahin chhune se bhi lag jata ho

kaun baiThega bhala aap ke bimar ke sath

rahzanoñ ke haath saarā intizām aayā to kyā

phir vafā ke mujrmoñ meñ merā naam aayā to kyā

rahzanon ke hath sara intizam aaya to kya

phir wafa ke mujrmon mein mera nam aaya to kya

mirī raakh meñ thiiñ kahīñ kahīñ mere ek ḳhvāb kirchiyāñ

mere jism-o-jāñ meñ chhupā huā tirī qurbatoñ ḳhayāl thā

meri rakh mein thin kahin kahin mere ek KHwab ki kirchiyan

mere jism-o-jaan mein chhupa hua teri qurbaton ka KHayal tha

kis ke badan narmiyāñ hāthoñ ko gudgudā ga.iiñ

dasht-e-firāq-e-yār ko pahlū-e-yār kar diyā

kis ke badan ki narmiyan hathon ko gudguda gain

dasht-e-firaq-e-yar ko pahlu-e-yar kar diya

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now