Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Abdul Majeed Khan Majeed

1948 | Bettiah, India

One of the poets to emerge from Bihar in the 80s

One of the poets to emerge from Bihar in the 80s

Sher of Abdul Majeed Khan Majeed

541
Favorite

SORT BY

ab charāġhoñ meñ zindagī kam hai

dil jalāo ki raushnī kam hai

ab charaghon mein zindagi kam hai

dil jalao ki raushni kam hai

nahīñ miltī unheñ manzil jinheñ ḳhauf-e-havādis hai

jo maujoñ se nahīñ Darte nadī ko paar karte haiñ

nahin milti unhen manzil jinhen KHauf-e-hawadis hai

jo maujon se nahin Darte nadi ko par karte hain

bevafā kahiye bā-vafā kahiye

dil meñ aa.e jo barmalā kahiye

bewafa kahiye ba-wafa kahiye

dil mein aae jo barmala kahiye

sab apnī apnī raah par aage nikal ga.e

ab kis intizār kiye rahe haiñ ham

sab apni apni rah par aage nikal gae

ab kis ka intizar kiye ja rahe hain hum

zindagī chhoTī hai sāmān bahut

aur dil ke bhī haiñ armān bahut

zindagi chhoTi hai saman bahut

aur dil ke bhi hain arman bahut

jis ke pairoñ tale zamīn nahīñ

us saarā jahān hotā hai

jis ke pairon tale zamin nahin

us ka sara jahan hota hai

na jaane kis yaad ne dil meñ gudgudī

aa.ina dekh dekh ke sharmā rahe haiñ ham

na jaane kis ki yaad ne li dil mein gudgudi

aaina dekh dekh ke sharma rahe hain hum

kahāñ shikva zamāne pas-e-dīvār karte haiñ

hameñ karnā hai jo bhī ham sar-e-bāzār karte haiñ

kahan shikwa zamane ka pas-e-diwar karte hain

hamein karna hai jo bhi hum sar-e-bazar karte hain

apne dāman kuchh ḳhabar hai 'majīd'

soch kar ḳhud ko pārsā kahiye

apne daman ki kuchh KHabar hai 'majid'

soch kar KHud ko parsa kahiye

kaif-o-mastī surūr kyā ma.anī

zindagī meñ bhī ab ḳhushī kam hai

kaif-o-masti surur kya mani

zindagi mein bhi ab KHushi kam hai

Recitation

Speak Now