Abdul Rahman Bazmi
Ghazal 2
Sher-o-Shayari 3
chhalak jaatī hai ashk-e-garm ban kar merī āñkhoñ se
Thahartī hī nahīñ sahbā-e-dard in ābgīnoñ meñ
chhalak jati hai ashk-e-garm ban kar meri aankhon se
Thaharti hi nahin sahba-e-dard in aabginon mein
-
Share this
- See Ghazal
abas DhūñDā kiye ham nā-ḳhudāoñ ko safīnoñ meñ
vo the āsūda-e-sāhil mile sāhil-nashīnoñ meñ
abas DhunDa kiye hum na-KHudaon ko safinon mein
wo the aasuda-e-sahil mile sahil-nashinon mein
-
Share this
- See Ghazal
thā kisī gum-karda-e-manzil kā naqsh-e-be-sabāt
jis ko mīr-e-kārvāñ kā naqsh-e-pā samjhā thā meñ
tha kisi gum-karda-e-manzil ka naqsh-e-be-sabaat
jis ko mir-e-karwan ka naqsh-e-pa samjha tha mein
-
Share this
- See Ghazal