Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Abdullah Kamal's Photo'

Abdullah Kamal

1948 - 2010 | Mumbai, India

Leading modern Urdu poet

Leading modern Urdu poet

Sher of Abdullah Kamal

abhī gunāh mausam hai aa shabāb meñ aa

nasha utarne se pahle mirī sharāb meñ aa

abhi gunah ka mausam hai aa shabab mein aa

nasha utarne se pahle meri sharab mein aa

maiñ tujh ko jāgtī āñkhoñ se chhū sakūñ na kabhī

mirī anā bharam rakh le mere ḳhvāb meñ aa

main tujh ko jagti aankhon se chhu sakun na kabhi

meri ana ka bharam rakh le mere KHwab mein aa

ik musalsal jañg thī ḳhud se ki ham zinda haiñ aaj

zindagī ham terā haq yuuñ bhī adā karte rahe

ek musalsal jang thi KHud se ki hum zinda hain aaj

zindagi hum tera haq yun bhi ada karte rahe

vo qayāmat thī ki reza reza ho ke uḌ gayā

ai zamīñ varna kabhī ik āsmāñ merā bhī thā

wo qayamat thi ki reza reza ho ke uD gaya

ai zamin warna kabhi ek aasman mera bhi tha

aao aaj ham donoñ apnā apnā ghar chun leñ

tum navāh-e-dil le lo ḳhitta-e-badan merā

aao aaj hum donon apna apna ghar chun len

tum nawah-e-dil le lo KHitta-e-badan mera

chamak de chāñd ko ThanDak havā ko dil ko umañg

udaas qisse ko phir ek shāhzāda de

chamak de chand ko ThanDak hawa ko dil ko umang

udas qisse ko phir ek shahzada de

apne vajūd se pare ab

koī bhī rāsta nahīñ hai

apne wajud se pare ab

koi bhi rasta nahin hai

tum to ai ḳhushbū havāo us se mil kar aa ga.iiñ

ek ham the zaḳhm-e-tanhā.ī harā karte rahe

tum to ai KHushbu hawao us se mil kar aa gain

ek hum the zaKHm-e-tanhai hara karte rahe

bas ik ḳhāna-badoshī hai ki ab tak saath hai apne

ta.ayyush hai tasavvur meñ bhī ab koī makāñ rakhnā

bas ek KHana-badoshi hai ki ab tak sath hai apne

tayyush hai tasawwur mein bhi ab koi makan rakhna

Recitation

Speak Now