Abdur Rauf Urooj
Ghazal 15
Sher-o-Shayari 5
ḳhamoshī merī lai meñ gungunānā chāhtī hai
kisī se baat karne kā bahānā chāhtī hai
KHamoshi meri lai mein gungunana chahti hai
kisi se baat karne ka bahana chahti hai
-
Share this
- See Ghazal
nafas ke loch ko ḳhanjar banānā chāhtī hai
mohabbat apnī tezī āzmānā chāhtī hai
nafas ke loch ko KHanjar banana chahti hai
mohabbat apni tezi aazmana chahti hai
-
Share this
- See Ghazal
ye tabassum kā ujālā ye nigāhoñ kī sahar
log yuuñ bhī to chhupāte haiñ añdhere dil meñ
ye tabassum ka ujala ye nigahon ki sahar
log yun bhi to chhupate hain andhere dil mein
-
Share this
- See Ghazal
zindagī azmat-e-hāzir ke baġhair
ik tasalsul hai magar ḳhvāboñ kā
zindagi azmat-e-hazir ke baghair
ek tasalsul hai magar KHwabon ka
-
Share this
- See Ghazal
zulmateñ vahshat-e-fardā se niDhāl
DhūñDhtī phirtī haiñ ghar ḳhvāboñ kā
zulmaten wahshat-e-farda se niDhaal
DhunDhti phirti hain ghar KHwabon ka
-
Share this
- See Ghazal