Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Abdur Rauf Urooj's Photo'

Abdur Rauf Urooj

1936 | Karachi, Pakistan

Pakistani poet, author and journalist; authored two important books on Amir Khusrau and Urdu Marsiya

Pakistani poet, author and journalist; authored two important books on Amir Khusrau and Urdu Marsiya

Sher of Abdur Rauf Urooj

ḳhamoshī merī lai meñ gungunānā chāhtī hai

kisī se baat karne bahānā chāhtī hai

KHamoshi meri lai mein gungunana chahti hai

kisi se baat karne ka bahana chahti hai

ye tabassum ujālā ye nigāhoñ sahar

log yuuñ bhī to chhupāte haiñ añdhere dil meñ

ye tabassum ka ujala ye nigahon ki sahar

log yun bhi to chhupate hain andhere dil mein

zindagī azmat-e-hāzir ke baġhair

ik tasalsul hai magar ḳhvāboñ

zindagi azmat-e-hazir ke baghair

ek tasalsul hai magar KHwabon ka

nafas ke loch ko ḳhanjar banānā chāhtī hai

mohabbat apnī tezī āzmānā chāhtī hai

nafas ke loch ko KHanjar banana chahti hai

mohabbat apni tezi aazmana chahti hai

zulmateñ vahshat-e-fardā se niDhāl

DhūñDhtī phirtī haiñ ghar ḳhvāboñ

zulmaten wahshat-e-farda se niDhaal

DhunDhti phirti hain ghar KHwabon ka

Recitation

Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

Register for free
Speak Now