Sher of Abhishek Kumar Amber
use maiñ kyuuñ mohabbat se na dekhūñ
vo merā pahlā pahlā pyaar Thahrā
use main kyun mohabbat se na dekhun
wo mera pahla pahla pyar Thahra
vo ab bhī dil dukhā detā hai merā
vo merā dost hai dushman nahīñ hai
wo ab bhi dil dukha deta hai mera
wo mera dost hai dushman nahin hai
tumhāre saath rahne ke liye bhī
hameñ koī bahāna chāhiye ab
tumhaare sath rahne ke liye bhi
hamein koi bahana chahiye ab
us ne pūchhā hai kyā mohabbat hai
ab bhalā kyā javāb duuñ us ko
us ne puchha hai kya mohabbat hai
ab bhala kya jawab dun us ko
ek din lauT kar maiñ ā.uñgā
ho sake intizār kar lenā
ek din lauT kar main aaunga
ho sake intizar kar lena
terā afsāna chheḌ kar koī
aaj jāgegā rāt-bhar koī
tera afsana chheD kar koi
aaj jagega raat-bhar koi
kyā bharosa zindagī kā ham kareñ
aaj ham meñ jaan hai kal ho na ho
kya bharosa zindagi ka hum karen
aaj hum mein jaan hai kal ho na ho
vo mire saath yuuñ rahā jaise
kāTtā ho koī sazā jaise
wo mere sath yun raha jaise
kaTta ho koi saza jaise
toḌ kar va.ada jā nahīñ saktā
vo mirā dil dukhā nahīñ saktā
toD kar wada ja nahin sakta
wo mera dil dukha nahin sakta
sar-e-mahfil maiñ kyuuñ ḳhāmosh rah kar
sabhī logoñ ke tevar dekhtā huuñ
sar-e-mahfil main kyun KHamosh rah kar
sabhi logon ke tewar dekhta hun
faaqe kā din aaj hai 'amabar'
allāh ke mehmān bane haiñ
faqe ka din aaj hai 'amabar'
allah ke mehman bane hain