Abu Mohammad Sahar
Ghazal 19
Sher-o-Shayari 15
BOOKS 28
Image Shayari 3
ab tak ilaaj-e-ranjish-e-be-jaa na kar sake ik umr me.n bhii husn ko apnaa na kar sake thii ek rasm-e-ishq so ham ne bhii kii adaa duniyaa me.n ko.ii kaam anokhaa na kar sake kal raat dil ke saath bujhe is tarah charaaG yaado.n ke silsile bhii ujaalaa na kar sake ab is se kyaa Garaz hai ki anjaam kyaa hu.aa ye to nahii.n ki terii tamannaa na kar sake KHud ishq hii ko de ga.e rusvaa.iyo.n ke daaG vo raaz-e-husn ham jinhe.n ifshaa na kar sake zauq-e-junuu.n ko raas nahii.n ta.ng bastiyaa.n sahraa na ho to kyaa ko.ii diivaana kar sake har imtiyaaz us ke liye hech hai 'sahar' jo apnii zindagii ko tamaashaa na kar sake