Afeef Siraj
Ghazal 18
Nazm 3
Sher-o-Shayari 18
bahut shagufta-o-rañgīn guftugū hai 'sirāj'
chaman meñ baat tirī rañg-o-bū se khelegī
bahut shagufta-o-rangin guftugu hai 'siraj'
chaman mein baat teri rang-o-bu se khelegi
-
Share this
- See Ghazal
bastī tamām ḳhvāb kī vīrān ho ga.ī
yuuñ ḳhatm shab huī sahar āsān ho ga.ī
basti tamam KHwab ki viran ho gai
yun KHatm shab hui sahar aasan ho gai
-
Share this
- See Ghazal
is qadar Duube gunāh-e-ishq meñ tere habīb
sochte haiñ jā.eñge kis muñh se tauba kī taraf
is qadar Dube gunah-e-ishq mein tere habib
sochte hain jaenge kis munh se tauba ki taraf
-
Share this
- See Ghazal
ḳhvāb-ālud nigāhoñ se ye kahtā guzrā
maiñ haqīqat thā jo ta.abīr meñ rakkhā gayā thā
KHwab-alud nigahon se ye kahta guzra
main haqiqat tha jo tabir mein rakkha gaya tha
-
Share this
- See Ghazal
maiñ hikāyat-e-dil-e-be-navā meñ ishārat-e-ġham-e-jāvidāñ
maiñ vo harf-e-āḳhir-e-motabar jo likhā gayā na paḌhā gayā
main hikayat-e-dil-e-be-nawa mein ishaarat-e-gham-e-jawidan
main wo harf-e-aKHir-e-motabar jo likha gaya na paDha gaya
-
Share this
- See Ghazal