Sher of Agha Mohammad Taqi Khan taraqqi
duniyā ke jo maze haiñ hargiz vo kam na hoñge
charche yūñhī raheñge afsos ham na hoñge
duniya ke jo maze hain hargiz wo kam na honge
charche yunhi rahenge afsos hum na honge
-
Tag : Famous shayari
jise ishrat-kada-e-dahr samajhtā thā maiñ
āḳhir-e-kār vo ik ḳhvāb-e-pareshāñ niklā
jise ishrat-kada-e-dahr samajhta tha main
aaKHir-e-kar wo ek KHwab-e-pareshan nikla
yaktā.ī pe hai naaz to itnā bhī rahe yaad
tum sā mujhe to tum ko bhī mujh sā na milegā
yaktai pe hai naz to itna bhi rahe yaad
tum sa mujhe to tum ko bhi mujh sa na milega
burā ho yā-ilāhī dil-lagī kā
ghaTā kī umr aur ulfat baḌhā kī
bura ho ya-ilahi dil-lagi ka
ghaTa ki umr aur ulfat baDha ki