Barqi Azmi
Ghazal 43
Nazm 1
Sher-o-Shayari 9
huā karbalā meñ jo qurbān 'barqī'
husain ibn-e-haidar kā vo ḳhāndāñ thā
hua karbala mein jo qurban 'barqi'
husain ibn-e-haidar ka wo KHandan tha
-
Share this
- See Ghazal
rūThne aur manāne ke ehsās meñ hai ik kaif-o-surūr
maiñ ne hamesha use manāyā vo bhī mujhe manā.e to
ruThne aur manane ke ehsas mein hai ek kaif-o-surur
main ne hamesha use manaya wo bhi mujhe manae to
-
Share this
- See Ghazal
is haal meñ kab tak yūñhī ghuT ghuT ke jiyūñgā
rūThā hai vo aise ki manā bhī nahīñ saktā
is haal mein kab tak yunhi ghuT ghuT ke jiyunga
ruTha hai wo aise ki mana bhi nahin sakta
-
Share this
- See Ghazal
ajab ḳhūñ-chakāñ karbalā kā samāñ thā
the sab tishna-lab aur dariyā ravāñ thā
ajab KHun-chakan karbala ka saman tha
the sab tishna-lab aur dariya rawan tha
-
Share this
- See Ghazal
zindagī us ne badal kar mirī rakh dī aisī
na mujhe chain na ārām hai kyā arz karūñ
zindagi us ne badal kar meri rakh di aisi
na mujhe chain na aaram hai kya arz karun
-
Share this
- See Ghazal