Sher of Ahmad Wasi
vo kare baat to har lafz se ḳhushbū aa.e
aisī bolī vahī bole jise urdu aa.e
wo kare baat to har lafz se KHushbu aae
aisi boli wahi bole jise urdu aae
jo kahtā thā zamīñ ko maiñ sitāroñ se sajā dūñgā
vahī bastī kī tah meñ rakh gayā chiñgāriyāñ apnī
jo kahta tha zamin ko main sitaron se saja dunga
wahi basti ki tah mein rakh gaya chingariyan apni
judā.ī kyuuñ diloñ ko aur bhī nazdīk laatī hai
bichhaḌ kar kyuuñ ziyāda pyaar kā ehsās hotā hai
judai kyun dilon ko aur bhi nazdik lati hai
bichhaD kar kyun ziyaada pyar ka ehsas hota hai
log hairat se mujhe dekh rahe haiñ aise
mere chehre pe koī naam likhā ho jaise
log hairat se mujhe dekh rahe hain aise
mere chehre pe koi nam likha ho jaise
muddat ke ba.ad aa.ina kal sāmne paḌā
dekhī jo apnī shakl to chehra utar gayā
muddat ke baad aaina kal samne paDa
dekhi jo apni shakl to chehra utar gaya
muddat guzar ga.ī hai ki dil ko sukūñ nahīñ
muddat guzar ga.ī hai kisī kā bhalā kiye
muddat guzar gai hai ki dil ko sukun nahin
muddat guzar gai hai kisi ka bhala kiye
jo chehre duur se lagte haiñ aadmī jaise
vahī qarīb se patthar dikhā.ī dete haiñ
jo chehre dur se lagte hain aadmi jaise
wahi qarib se patthar dikhai dete hain
thak ke yuuñ pichhle pahar sau gayā merā ehsās
raat bhar shahr meñ āvāra phirā ho jaise
thak ke yun pichhle pahar sau gaya mera ehsas
raat bhar shahr mein aawara phira ho jaise
phir chāñdnī lage tirī parchhā.īñ kī tarah
phir chāñd terī shakl meñ Dhaltā dikhā.ī de
phir chandni lage teri parchhain ki tarah
phir chand teri shakl mein Dhalta dikhai de
meñ saañs saañs huuñ ghāyal ye kaun mānegā
badan pe choT kā koī nishān bhī to nahīñ
mein sans sans hun ghayal ye kaun manega
badan pe choT ka koi nishan bhi to nahin
jhuuT boloñ to gunahgār banoñ
saaf kah duuñ to sazā-vār banoñ
jhuT bolon to gunahgar banon
saf kah dun to saza-war banon
rotī āñkhoñ ko hañsāne kā hunar le ke chalo
ghar se niklo to ye sāmān-e-safar le ke chalo
roti aankhon ko hansane ka hunar le ke chalo
ghar se niklo to ye saman-e-safar le ke chalo
in se zinda hai ye ehsās ki zinda huuñ maiñ
shahr meñ kuchh mire dushman haiñ bahut achchhā hai
in se zinda hai ye ehsas ki zinda hun main
shahr mein kuchh mere dushman hain bahut achchha hai
yuuñ jāgne lage tirī yādoñ ke silsile
sūraj galī galī se nikaltā dikhā.ī de
yun jagne lage teri yaadon ke silsile
suraj gali gali se nikalta dikhai de
tumheñ tumhāre alāva bhī kuchh nazar aa.e
gar apne ā.ina-ḳhānoñ se tum nikal aa aao
tumhein tumhaare alawa bhi kuchh nazar aae
gar apne aaina-KHanon se tum nikal aa aao
tujh se samjhaute kī hai shart yahī a duniyā
jab ishāra maiñ karūñ merī taraf tū aa.e
tujh se samjhaute ki hai shart yahi a duniya
jab ishaara main karun meri taraf tu aae
bartāv is tarah kā rahe har kisī ke saath
ḳhud ko liye diye bhī raho dostī ke saath
bartaw is tarah ka rahe har kisi ke sath
KHud ko liye diye bhi raho dosti ke sath
apnī hī zaat ke sahrā meñ aaj
log chup-chāp jalā karte haiñ
apni hi zat ke sahra mein aaj
log chup-chap jala karte hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download