Sher of Ahmaq Phaphoondvi
ye kah rahī hai ishāroñ meñ gardish-e-gardūñ
ki jald ham koī saḳht inqalāb dekheñge
ye kah rahi hai ishaaron mein gardish-e-gardun
ki jald hum koi saKHt inqalab dekhenge
jo arzāñ hai to hai un kī matā-e-ābrū varna
zarā sī chiiz bhī behad girāñ hai is zamāne meñ
jo arzan hai to hai un ki mata-e-abru warna
zara si chiz bhi behad giran hai is zamane mein
vo ik roTī jo ham ko barhaman mushkil se detā hai
hazāroñ but huā karte haiñ us ke daane daane meñ
wo ek roTi jo hum ko barhaman mushkil se deta hai
hazaron but hua karte hain us ke dane dane mein