Sher of Ahsan Gulfam
shahr kā shahr ye pīchhe jo paḌā hai mere
tere dīvāne meñ kuchh baat to hotī hogī
shahr ka shahr ye pichhe jo paDa hai mere
tere diwane mein kuchh baat to hoti hogi
ye shā.irī kā takalluf badan pe achchhā libās
sab iltizām usī ek be-vafā ke liye
ye shairi ka takalluf badan pe achchha libas
sab iltizam usi ek be-wafa ke liye
mujh ko da.avā nahīñ yūsuf sā hasīñ hone kā
phir bhī hai merā zuleḳhāoñ meñ charchā sāhab
mujh ko dawa nahin yusuf sa hasin hone ka
phir bhi hai mera zuleKHaon mein charcha sahab
ab kahāñ miltā hai āshiq koī sachchā sāhab
zaḳhm hī koī lagā deñ mujhe achchhā sāhab
ab kahan milta hai aashiq koi sachcha sahab
zaKHm hi koi laga den mujhe achchha sahab
itnī mahñgā.ī hai marnā bhī agar chāhūñ to
zahr miltā nahīñ bāzār meñ sastā sāhab
itni mahngai hai marna bhi agar chahun to
zahr milta nahin bazar mein sasta sahab
rahne ko apne paas koī chhat nahīñ magar
chiḌiyoñ ke chahchahāne ko āñgan banā diyā
rahne ko apne pas koi chhat nahin magar
chiDiyon ke chahchahane ko aangan bana diya
us ne bhūle se kabhī dekhā thā merī jānib
umr bhar phir na rahā hosh se rishta sāhab
us ne bhule se kabhi dekha tha meri jaanib
umr bhar phir na raha hosh se rishta sahab
kahne ko faqat ibn-e-alī ibn-e-alī haiñ
dekho to kahīñ jazba-e-haidar nahīñ miltā
kahne ko faqat ibn-e-ali ibn-e-ali hain
dekho to kahin jazba-e-haidar nahin milta