Ajmal Ajmali
Ghazal 11
Sher-o-Shayari 8
maañ ne likhā hai ḳhat meñ jahāñ jaao ḳhush raho
mujh ko bhale na yaad karo ghar na bhūlnā
man ne likha hai KHat mein jahan jao KHush raho
mujh ko bhale na yaad karo ghar na bhulna
-
Share this
- See Ghazal
hazār manzil-e-ġham se guzar chuke lekin
abhī junūn-e-mohabbat kī ibtidā bhī nahīñ
hazar manzil-e-gham se guzar chuke lekin
abhi junun-e-mohabbat ki ibtida bhi nahin
-
Share this
- See Ghazal
tār-e-nazar bhī ġham kī tamāzat se ḳhushk hai
vo pyaas hai mile to samundar sameT luuñ
tar-e-nazar bhi gham ki tamazat se KHushk hai
wo pyas hai mile to samundar sameT lun
-
Share this
- See Ghazal
kitnī tavīl kyuuñ na ho bātil kī zindagī
har raat kā hai sub.h muqaddar na bhūlnā
kitni tawil kyun na ho baatil ki zindagi
har raat ka hai subh muqaddar na bhulna
-
Share this
- See Ghazal