Sher of Ali Zaheer Rizvi Lakhnavi
mirā ḳhūn-e-jigar pur-nūr ban jaa.e to achchhā ho
tumhārī maañg kā sindūr ban jaane to achchhā ho
mera KHun-e-jigar pur-nur ban jae to achchha ho
tumhaari mang ka sindur ban jaane to achchha ho
nafrat se mohabbat ko sahāre bhī mile haiñ
tūfān ke dāman meñ kināre bhī mile haiñ
nafrat se mohabbat ko sahaare bhi mile hain
tufan ke daman mein kinare bhi mile hain
hamārī zindagī kyā hai mohabbat hī mohabbat hai
tumhārā bhī yahī dastūr ban jaa.e to achchhā ho
hamari zindagi kya hai mohabbat hi mohabbat hai
tumhaara bhi yahi dastur ban jae to achchha ho
rāz-e-ġham-e-ulfat ko ye duniyā na samajh le
aañsū mire dāman meñ tumhāre bhī mile haiñ
raaz-e-gham-e-ulfat ko ye duniya na samajh le
aansu mere daman mein tumhaare bhi mile hain
zarā parda haTā do sāmne se bijliyāñ chamkeñ
mirā dil jalva-gāh-e-tūr ban jaa.e to achchhā ho
zara parda haTa do samne se bijliyan chamken
mera dil jalwa-gah-e-tur ban jae to achchha ho
vo to thā aadmī kī tarah 'zahīr'
us kā chehra farishtoñ jaisā thā
wo to tha aadmi ki tarah 'zahir'
us ka chehra farishton jaisa tha
kaan sunte to haiñ lekin na samajhne ke liye
koī samjhā bhī to mafhūm nayā māñge hai
kan sunte to hain lekin na samajhne ke liye
koi samjha bhi to mafhum naya mange hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download