Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Alimullah

Sher of Alimullah

ajab kuchh ishq ḳhush-tar hai vaadī

ki jis vaadī meñ hai har vaqt shādī

ajab kuchh ishq ki KHush-tar hai wadi

ki jis wadi mein hai har waqt shadi

yaar ke darsan ke ḳhātir jaan aur tan bhuul

aañkh munavvar dekh us rañg-e-gulshan bhuul

yar ke darsan ke KHatir jaan aur tan bhul ja

aankh munawwar dekh us ka rang-e-gulshan bhul ja

ishq ke kūche meñ jab jaatā hai dil karne ko sair

vaañ nahīñ ma.alūm hotā roz hai raat hai

ishq ke kuche mein jab jata hai dil karne ko sair

wan nahin malum hota roz hai ya raat hai

tark de islām ko aur kufr saarā duur kar

chhoḌ de hirs-o-havā farzand aur zan bhuul

tark de islam ko aur kufr sara dur kar

chhoD de hirs-o-hawa farzand aur zan bhul ja

tālāb irāde bhare pal meñ labālab

jab yaar ke dariyā-e-karam suuñ lahr aave

talab irade ka bhare pal mein labaalab

jab yar ke dariya-e-karam sun lahr aawe

chaman suuñ dil ke aalam ko ḳhabar nahiñ

hamesha dekhte ḳhākī badan ko

chaman sun dil ke aalam ko KHabar nahin

hamesha dekhte KHaki badan ko

Recitation

Speak Now