Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Amir Usmani's Photo'

Amir Usmani

1920 - 1975 | Saharanpur, India

Prominent fiction writer, satarist and poet

Prominent fiction writer, satarist and poet

Sher of Amir Usmani

3K
Favorite

SORT BY

chand alfāz ke motī haiñ mire dāman meñ

hai magar terī mohabbat taqāzā kuchh aur

chand alfaz ke moti hain mere daman mein

hai magar teri mohabbat ka taqaza kuchh aur

baaqī kyā rahā hai tujhe māñgne ke baad

bas ik duā meñ chhūT ga.e har duā se ham

baqi hi kya raha hai tujhe mangne ke baad

bas ek dua mein chhuT gae har dua se hum

ābloñ shikva kyā Thokaroñ ġham kaisā

aadmī mohabbat meñ sab ko bhuul jaatā hai

aablon ka shikwa kya Thokaron ka gham kaisa

aadmi mohabbat mein sab ko bhul jata hai

ishq ke marāhil meñ vo bhī vaqt aatā hai

āfateñ barastī haiñ dil sukūn paatā hai

ishq ke marahil mein wo bhi waqt aata hai

aafaten barasti hain dil sukun pata hai

sabaq milā hai ye apnoñ tajraba kar ke

vo log phir bhī ġhanīmat haiñ jo parā.e haiñ

sabaq mila hai ye apnon ka tajraba kar ke

wo log phir bhi ghanimat hain jo parae hain

ye qadam qadam balā.eñ ye savād-e-kū-e-jānāñ

vo yahīñ se lauT jaa.e jise zindagī ho piyārī

ye qadam qadam balaen ye sawad-e-ku-e-jaanan

wo yahin se lauT jae jise zindagi ho piyari

us ke vādoñ se itnā to sābit huā us ko thoḌā pās-e-ta.alluq to hai

ye alag baat hai vo hai vāda-shikan ye bhī kuchh kam nahīñ us ne vaade kiye

us ke wadon se itna to sabit hua us ko thoDa sa pas-e-talluq to hai

ye alag baat hai wo hai wada-shikan ye bhi kuchh kam nahin us ne wade kiye

mirī zindagī hāsil tire ġham pāsdārī

tire ġham aabrū hai mujhe har ḳhushī se pyārī

meri zindagi ka hasil tere gham ki pasdari

tere gham ki aabru hai mujhe har KHushi se pyari

hameñ āḳhirat meñ 'āmir' vahī umr kaam aa.ī

jise kah rahī thī duniyā ġham-e-ishq meñ gañvā

hamein aaKHirat mein 'amir' wahi umr kaam aai

jise kah rahi thi duniya gham-e-ishq mein ganwa di

zāhiran toḌ liyā ham ne butoñ se rishta

phir bhī siine meñ sanam-ḳhāna basā hai yaaro

zahiran toD liya hum ne buton se rishta

phir bhi sine mein sanam-KHana basa hai yaro

kitnī pāmāl umañgoñ hai madfan mat pūchh

vo tabassum jo haqīqat meñ fuġhāñ hotā hai

kitni pamal umangon ka hai madfan mat puchh

wo tabassum jo haqiqat mein fughan hota hai

ishq sar-tā-ba-qadam ātish-e-sozāñ hai magar

us meñ shola na sharāra na dhuāñ hotā hai

ishq sar-ta-ba-qadam aatish-e-sozan hai magar

us mein shola na sharara na dhuan hota hai

aql thak kar lauT aa.ī jāda-e-ālām se

ab junūñ āġhāz farmā.egā is anjām se

aql thak kar lauT aai jada-e-alam se

ab junun aaghaz farmaega is anjam se

thī siyāhiyoñ maskan mirī zindagī vaadī

tire husn ke tasadduq mujhe raushnī dikhā

thi siyahiyon ka maskan meri zindagi ki wadi

tere husn ke tasadduq mujhe raushni dikha di

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now