Sher of Anam Shahzadi
maiñ samajhtī huuñ jise yaum-e-vilādat apnā
dar-haqīqat vo mirī maut kā pahlā din thā
main samajhti hun jise yaum-e-wiladat apna
dar-haqiqat wo meri maut ka pahla din tha
mire dil meñ december jam gayā hai
pighal kar saal bhar bahtā rahegā
mere dil mein december jam gaya hai
pighal kar sal bhar bahta rahega
kyā musībat hai zindagī ya.anī
mujh ko jiinā paḌegā marne tak
kya musibat hai zindagi yani
mujh ko jina paDega marne tak
talāshtī huuñ maiñ dil kī kitāb meñ aksar
vo phuul tū ne jo mujh ko kabhī diyā hī nahīñ
talashti hun main dil ki kitab mein aksar
wo phul tu ne jo mujh ko kabhi diya hi nahin
kūḌe-dānoñ meñ laash kī sūrat
maiñ ne dekhe haiñ pyaar ke tohfe
kuDe-danon mein lash ki surat
main ne dekhe hain pyar ke tohfe
jaise dīmak-zada koī lakḌī
yuuñ tirā hijr khaa.e jaatā hai
jaise dimak-zada koi lakDi
yun tera hijr khae jata hai
jo alag ho gayā thā jhurmuT se
us parinde kī ḳhair ho maulā
jo alag ho gaya tha jhurmuT se
us parinde ki KHair ho maula
terī yādoñ kī bāñdh kar gaThḌī
maiñ bahut duur pheñk aa.ī huuñ
teri yaadon ki bandh kar gaThDi
main bahut dur phenk aai hun
na.ī na.ī to maiñ shahr-e-suḳhan meñ aa.ī huuñ
abhī to mujh pe na patthar uchhāliye sāhab
nai nai to main shahr-e-suKHan mein aai hun
abhi to mujh pe na patthar uchhaaliye sahab
hijr kuchh is tarah atā ho mujhe
merā jis meñ visāl ho jaa.e
hijr kuchh is tarah ata ho mujhe
mera jis mein visal ho jae