Dohe of Anas Khan
ḳhud ko chhoTā kar liyā ḳhud meñ ḳhud ko bhīñch
bil-āḳhir charḳhāb ne liyā samundar khīñch
KHud ko chhoTa kar liya KHud mein KHud ko bhinch
bil-aKHir charKHab ne liya samundar khinch
din meñ maz.hab jāgtā laakh bhalī hai raat
har tan laage ek sā ik hī laage zaat
din mein mazhab jagta lakh bhali hai raat
har tan lage ek sa ek hi lage zat
chhupā gayā gahrā.ī meñ dariyā apnā haal
maiñ jab bhī andar gayā bāhar diyā uchhāl
chhupa gaya gahrai mein dariya apna haal
main jab bhi andar gaya bahar diya uchhaal
zamīñ ek dikhtī rahī jab tak paḌī phuhār
sūkhā paḌte hī 'anas' aane lagī darār
zamin ek dikhti rahi jab tak paDi phuhaar
sukha paDte hi 'anas' aane lagi darar
qismat se jab vasl kī paidā huī sabīl
paas samundar dekh kar bhārī ho ga.ī jhiil
qismat se jab wasl ki paida hui sabil
pas samundar dekh kar bhaari ho gai jhil
tū mujh meñ mahdūd hai maiñ tujh meñ mahdūd
mere saa.e meñ tirā dikhne lagā vajūd
tu mujh mein mahdud hai main tujh mein mahdud
mere sae mein tera dikhne laga wajud
tū parbat se laa.ī hai sang apne dhan dhaan
gangā phir kyoñ khet meñ bhūkā khaḌā kisān
tu parbat se lai hai sang apne dhan dhan
ganga phir kyon khet mein bhuka khaDa kisan
fitrat se kī is qadar insānoñ ne chheḌ
niklā jangal jang par le muTThī bhar peḌ
fitrat se ki is qadar insanon ne chheD
nikla jangal jang par le muTThi bhar peD
āñkhoñ meñ paanī bharā paanī meñ girdāb
ḳhvāb hathelī par liye khaḌā rahā tālāb
aankhon mein pani bhara pani mein girdab
KHwab hatheli par liye khaDa raha talab
ghis ga.ī haDDī riiḌh kī jhukne lagā sharīr
loch khā ga.ī chhat mirī bikhar ga.e shahtīr
ghis gai haDDi riDh ki jhukne laga sharir
loch kha gai chhat meri bikhar gae shahtir
peḌ zard hone lage phuul hue ras.hīn
lahū shajar kā khīñch kar piine lagī zamīn
peD zard hone lage phul hue rashin
lahu shajar ka khinch kar pine lagi zamin
umr se dhokā khā ga.e parkhā nahīñ zamīr
bachcha bachcha hī rahā baḌhtā rahā sharīr
umr se dhoka kha gae parkha nahin zamir
bachcha bachcha hi raha baDhta raha sharir
apne hī sab haath chhuḌā leñ burā chale jo kaal
umreñ jitnī baḌhtī jaa.eñ uḌte jaa.eñ baal
apne hi sab hath chhuDa len bura chale jo kal
umren jitni baDhti jaen uDte jaen baal
mullā panDit sab yahāñ karte rahe fareb
soch rahā newton vahāñ girtā kyoñ hai seb
mulla panDit sab yahan karte rahe fareb
soch raha newton wahan girta kyon hai seb
sharābor palkeñ huiiñ kājal gayā hai phail
ashkoñ ke sailāb meñ bikhar ga.ī khaprail
sharabor palken huin kajal gaya hai phail
ashkon ke sailab mein bikhar gai khaprail
koī sañbhāle dair to koī bachā.e diin
'anas' bachā lo aap hī martī huī zamīn
koi sanbhaale dair to koi bachae din
'anas' bacha lo aap hi marti hui zamin
ruuh badan se khīñch kar kī tujh par qurbān
āsmān dhartī tujhe bhartī rahī lagān
ruh badan se khinch kar ki tujh par qurban
aasman dharti tujhe bharti rahi lagan
naarī jag kī niiñv hai rishtoñ kā ādhār
jaisī nazreñ Dāliye vaisā le ākār
nari jag ki ninw hai rishton ka aadhaar
jaisi nazren Daliye waisa le aakar
tū to faqat zamīn hai phir bhī tirā qusūr
gar imlī ke biij se niklā nahīñ khajūr
tu to faqat zamin hai phir bhi tera qusur
gar imli ke bij se nikla nahin khajur
ek aañkh meñ do patlī huuñ tab hogā ādhār
ik putlī antarman dekhe ik dekhe sansār
ek aankh mein do patli hun tab hoga aadhaar
ek putli antarman dekhe ek dekhe sansar
ruuh badan ke saath thī jag ne de dī taap
paanī nīche rah gayā uupar uḌ ga.ī bhaap
ruh badan ke sath thi jag ne de di tap
pani niche rah gaya upar uD gai bhap
har karvaT par halchal ho.e man bhī aapā kho.e
kaun basā hai mere andar khanan khanan khan ho.e
har karwaT par halchal hoe man bhi aapa khoe
kaun basa hai mere andar khanan khanan khan hoe
dekhā maañ kī god meñ ek 'ajab sansār
jitne paañv pasāriye utnā ho vistār
dekha man ki god mein ek 'ajab sansar
jitne panw pasariye utna ho wistar
pā kar nainan meñ use thirak uThā thā niir
aañch lagī jab der tak uphan ga.ī tasvīr
pa kar nainan mein use thirak uTha tha nir
aanch lagi jab der tak uphan gai taswir
panchhī uḌ kar chal diyā suukh ga.ī jab jhiil
maut hai aslī zindagī maut nahīñ takmīl
panchhi uD kar chal diya sukh gai jab jhil
maut hai asli zindagi maut nahin takmil
ye kah kar talvār ne chhoḌī aaj miyān
qaid hisār-e-jism meñ ab na rahegī jaan
ye kah kar talwar ne chhoDi aaj miyan
qaid hisar-e-jism mein ab na rahegi jaan
ye duniyā kī riit hai yā duniyā kā diin
jo uupar chaḌhne lage khīñche use zamīn
ye duniya ki rit hai ya duniya ka din
jo upar chaDhne lage khinche use zamin
raat umas meñ tar hue lekin khule na baab
alganiyoñ par nain kī din bhar sūkhe ḳhvāb
raat umas mein tar hue lekin khule na bab
alganiyon par nain ki din bhar sukhe KHwab
tanī rahī ye khaal bhī jab tak rahe javān
'anas' musalsal bojh se jhuul ga.ī advān
tani rahi ye khaal bhi jab tak rahe jawan
'anas' musalsal bojh se jhul gai adwan
tan būḌhā hone lagā dhundhle ho ga.e ḳhvāb
rang syāhī kā uḌā miTne lagī kitāb
tan buDha hone laga dhundhle ho gae KHwab
rang syahi ka uDa miTne lagi kitab
maz.hab ne jo Thoñk dī hilī nahīñ vo kiil
qudrat har maḳhlūq ko roz kare tabdīl
mazhab ne jo Thonk di hili nahin wo kil
qudrat har maKHluq ko roz kare tabdil
bāhar kī ik Thes bhī paidā kar de khoT
anDā jīvan paa.e jab ho andar se choT
bahar ki ek Thes bhi paida kar de khoT
anDa jiwan pae jab ho andar se choT
sudh-budh kho ga.ī bāñvrī jis din khulā fareb
nadiyā meñ gāgar milī panghaT par pāzeb
sudh-budh kho gai banwri jis din khula fareb
nadiya mein gagar mili panghaT par pazeb
badan añdherī koTharī khojo diyā-salā.ī
'anas' jagāo chetnā raushan karo ḳhudā.ī
badan andheri koThari khojo diya-salai
'anas' jagao chetna raushan karo KHudai
bhañvar lage jab khīñchne tund havā ke baal
havā nochne lag ga.ī dariyāoñ kī khaal
bhanwar lage jab khinchne tund hawa ke baal
hawa nochne lag gai dariyaon ki khaal
masjid meñ paidā huā sīkhī vahī zabān
totā mandir pe chaḌhā dene lagā azaan
masjid mein paida hua sikhi wahi zaban
tota mandir pe chaDha dene laga azan
apnoñ ko jab ham ne parkhā khul ga.ī sab kī poll
jigar kaleja thar-thar kāñpe jiibh na khaa.ī jhol
apnon ko jab hum ne parkha khul gai sab ki poll
jigar kaleja thar-thar kanpe jibh na khai jhol
ai satrañgī raushnī kaisī shakl banā.ī
jo rang apnāyā nahīñ vo hī diyā dikhā.ī
ai satrangi raushni kaisi shakl banai
jo rang apnaya nahin wo hi diya dikhai
bāhar kī ik Thes bhī paidā kar de khoT
anDā jīvan paa.e jab ho andar se choT
bahar ki ek Thes bhi paida kar de khoT
anDa jiwan pae jab ho andar se choT
pahle huā kisān kā baalū baalū khet
phir āñdhī mahñgā.ī kī bhar ga.ī muñh meñ ret
pahle hua kisan ka baalu baalu khet
phir aandhi mahngai ki bhar gai munh mein ret
pairoñ se kamzor thī phir bhī palTā khel
lipaT lipaT kar peḌ se uupar chaḌh ga.ī bel
pairon se kamzor thi phir bhi palTa khel
lipaT lipaT kar peD se upar chaDh gai bel
kal ye hī ban jā.egī usī gale kī phāñs
aaj havā anmol hai khīñch ziyāda saañs
kal ye hi ban jaegi usi gale ki phans
aaj hawa anmol hai khinch ziyaada sans
maazī kab kā so gayā sar par chādar taan
'anas' kahāñ se jism par aane lage nishān
mazi kab ka so gaya sar par chadar tan
'anas' kahan se jism par aane lage nishan
rāvan zinda hī rahā sadiyoñ jalā sharīr
tarkash meñ thā hī nahīñ kabhī raam ke tiir
rawan zinda hi raha sadiyon jala sharir
tarkash mein tha hi nahin kabhi ram ke tir
apnī zid kī aag meñ zaḳhmī kiye gulāb
ik vahshī ne Daal kar kaliyoñ par tezāb
apni zid ki aag mein zaKHmi kiye gulab
ek wahshi ne Dal kar kaliyon par tezab
kyā māñgeñ bhagvān se kyā degā ye dair
rickshaw ḳhud chaltā nahīñ binā chalā.e pair
kya mangen bhagwan se kya dega ye dair
rickshaw KHud chalta nahin bina chalae pair
mile jo nainan mad-bhare dhaḌkā man kā dvaar
tan ke is darbār kā man hai chaukīdār
mile jo nainan mad-bhare dhaDka man ka dwar
tan ke is darbar ka man hai chaukidar
purkhoñ kī tasvīr gale meñ vāhid banī dalīl
saare ghar kā maan sañbhāle ek akelī kiil
purkhon ki taswir gale mein wahid bani dalil
sare ghar ka man sanbhaale ek akeli kil
duniyā ek sarāb hai puḳhta huā yaqīn
maiñ jitnā chaltā gayā utnī chalī zamīn
duniya ek sarab hai puKHta hua yaqin
main jitna chalta gaya utni chali zamin