Sher of Ankit Maurya
batāyā hai kisī ke ishq ne ham ko
ki duniyā ḳhūbsūrat bhī ho saktī hai
bataya hai kisi ke ishq ne hum ko
ki duniya KHubsurat bhi ho sakti hai
vo ġhusse meñ sīdhī baat nahīñ kartā
tūfānoñ meñ bārish tirchhī hotī hai
wo ghusse mein sidhi baat nahin karta
tufanon mein barish tirchhi hoti hai
baañT Daale aise ham ne dil ke TukḌe kaaT kar
janm din pe bāñTte haiñ cake jaise kaaT kar
banT Dale aise hum ne dil ke TukDe kaT kar
janm din pe banTte hain cake jaise kaT kar
jaane kaise sab miTā dete haiñ dil se yādoñ ko
ham se photo wallpaper se haTāyā na gayā
jaane kaise sab miTa dete hain dil se yaadon ko
hum se photo wallpaper se haTaya na gaya
is liye aane nahīñ detā kisī ko dil meñ
TuuTe ghar meñ jo bhī aatā hai chalā jaatā hai
is liye aane nahin deta kisi ko dil mein
TuTe ghar mein jo bhi aata hai chala jata hai
ek din yuuñ hī lagā mujh ko gināne aib mere
vo bhalā kis muñh se kahtā chhoḌ jaanā chāhtā hai
ek din yun hi laga mujh ko ginane aib mere
wo bhala kis munh se kahta chhoD jaana chahta hai
jaan terī bātoñ ko rakhtā thā maiñ sar āñkhoñ pe
aur tum se phone tak merā uThāyā na gayā
jaan teri baaton ko rakhta tha main sar aankhon pe
aur tum se phone tak mera uThaya na gaya
ik peḌ kī tarah maiñ kināre khaḌā rahā
ik rail kī tarah vo guzartā chalā gayā
ek peD ki tarah main kinare khaDa raha
ek rail ki tarah wo guzarta chala gaya
maiñ kisī ko duuñ jagah thoḌī sī jo dil meñ agar
vo mire dil ko dukhātā hai chalā jaatā hai
main kisi ko dun jagah thoDi si jo dil mein agar
wo mere dil ko dukhata hai chala jata hai
rok bhī to ham nahīñ sakte the jaane vaale ko
baad us ke dil kisī se bhī lagāyā na gayā
rok bhi to hum nahin sakte the jaane wale ko
baad us ke dil kisi se bhi lagaya na gaya
kar ke lākhoñ koshisheñ gar jo bachā bhī luuñ maiñ rishta
to nahīñ phir man hamārā pahle ke jaisā milegā
kar ke lakhon koshishen gar jo bacha bhi lun main rishta
to nahin phir man hamara pahle ke jaisa milega
zindagī se aise kaaTā scene us ne ishq kā
dekhtā hai koī jaise film gaane kaaT kar
zindagi se aise kaTa scene us ne ishq ka
dekhta hai koi jaise film gane kaT kar
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
koī le le fauran us ke haath se ġhubbāre saare
ek bachcha jaane kab se muskurānā chāhtā hai
koi le le fauran us ke hath se ghubbare sare
ek bachcha jaane kab se muskurana chahta hai
mere āġhosh meñ aatā hai chalā jaatā hai
roz shab ḳhvāb dikhātā hai chalā jaatā hai
mere aaghosh mein aata hai chala jata hai
roz shab KHwab dikhata hai chala jata hai
ishq jis meñ nā bichhaḌne kā zarā bhī Dar rahe
khelnā hai khel par sāñpoñ ke ḳhāne kaaT kar
ishq jis mein na bichhaDne ka zara bhi Dar rahe
khelna hai khel par sanpon ke KHane kaT kar