Sher of Arifa Shahzad
tujhe āġhāz hī se paḌh liyā thā
tire chehre pe sab likhā huā thā
tujhe aaghaz hi se paDh liya tha
tere chehre pe sab likha hua tha
nashtar jaisā andar ik chubhtā kāñTā hai
jaane us ne dukh bāñTā yā dil bāñTā hai
nashtar jaisa andar ek chubhta kanTa hai
jaane us ne dukh banTa ya dil banTa hai
ḳhvāb meñ jāgtī be-ḳhvābī patā pūchhtī hai
kyā kaheñ niiñd bhī hotī hai sulāne vaalī
KHwab mein jagti be-KHwabi pata puchhti hai
kya kahen nind bhi hoti hai sulane wali
ab bhī mat pūchh mire dil meñ hai kyā rahne de
baat vaise bhī nahīñ tujh ko batāne vaalī
ab bhi mat puchh mere dil mein hai kya rahne de
baat waise bhi nahin tujh ko batane wali
din kī āñkheñ band huī haiñ
āñkhoñ meñ hai raat ḳhabar lo
din ki aankhen band hui hain
aankhon mein hai raat KHabar lo
sab mumkin hai farz hī kar lo
ḳhushbū apnī ok meñ bhar lo
sab mumkin hai farz hi kar lo
KHushbu apni ok mein bhar lo