Sher of Asad Awan
ham bhī 'ġhālib' kī tarah kūcha-e-jānāñ se 'asad'
na nikalte to kisī roz nikāle jaate
hum bhi 'ghaalib' ki tarah kucha-e-jaanan se 'asad'
na nikalte to kisi roz nikale jate
ḳhud-baḳhud chhoḌ ga.e haiñ to chalo Thiik huā
itne ahbāb kahāñ ham se sañbhāle jaate
KHud-baKHud chhoD gae hain to chalo Thik hua
itne ahbab kahan hum se sanbhaale jate
umr-bhar maañ kī nasīhat pe zamāne meñ 'asad'
fātima-zehrā ke bachchoñ se vafādārī kī
umr-bhar man ki nasihat pe zamane mein 'asad'
fatima-zehra ke bachchon se wafadari ki
is mohabbat ne hameñ joḌ diyā aapas meñ
varna ham donoñ kā ik jaisā aqīda to na thā
is mohabbat ne hamein joD diya aapas mein
warna hum donon ka ek jaisa aqida to na tha
aaj dekhā hai use jaate hue raste meñ
aaj us shaḳhs kī tasvīr utārī maiñ ne
aaj dekha hai use jate hue raste mein
aaj us shaKHs ki taswir utari main ne
jo apne zo'm meñ rahte haiñ aise logoñ ko
nazar meñ rakhte haiñ dil se utaar dete haiñ
jo apne zo'm mein rahte hain aise logon ko
nazar mein rakhte hain dil se utar dete hain
'ġhālib' ke martabe se ye vāqif nahīñ 'asad'
ye bad-lihāz nasl hai ahd-e-jadīd kī
'ghaalib' ke martabe se ye waqif nahin 'asad'
ye bad-lihaz nasl hai ahd-e-jadid ki
bach-bach ke terī raah se chalnā to thā mujhe
tū jo badal gayā hai badalnā to thā mujhe
bach-bach ke teri rah se chalna to tha mujhe
tu jo badal gaya hai badalna to tha mujhe
lab pe ik harf-e-tamannā hai gadā.ī to nahīñ
ye mirī apnī kamā.ī hai parā.ī to nahīñ
lab pe ek harf-e-tamanna hai gadai to nahin
ye meri apni kamai hai parai to nahin
ik na.ī tarz kā kirdār diyā jā.egā
is kahānī meñ mujhe maar diyā jā.egā
ek nai tarz ka kirdar diya jaega
is kahani mein mujhe mar diya jaega
zhāla-bārī bhī rahī dhuup bhī thī bārish bhī
terī yādoñ ke ilāqe meñ ye manzar dekhe
zhaala-bari bhi rahi dhup bhi thi barish bhi
teri yaadon ke ilaqe mein ye manzar dekhe
donoñ ne donoñ hāthoñ se luuTā hameñ 'asad'
parda-nashīñ bhī the ka.ī masnad-nashīñ bhī the
donon ne donon hathon se luTa hamein 'asad'
parda-nashin bhi the kai masnad-nashin bhi the
zaḳhm siine pe hue itne ki siine se rahe
ham tire hijr meñ jiite haiñ to jiine se rahe
zaKHm sine pe hue itne ki sine se rahe
hum tere hijr mein jite hain to jine se rahe
chup-chāp apne yaar kī dahlīz par mare
duniyā kahegī ham bhī kisī chiiz par mare
chup-chap apne yar ki dahliz par mare
duniya kahegi hum bhi kisi chiz par mare
koī to dekhe mirī bebasī mohabbat meñ
maiñ aap apnī jahāñ meñ hañsī uḌātā phirūñ
koi to dekhe meri bebasi mohabbat mein
main aap apni jahan mein hansi uData phirun
yūsuf ke liye haiñ sar-e-bāzār ikaTThe
qismat se hue aaj ḳharīdār ikaTThe
yusuf ke liye hain sar-e-bazar ikaTThe
qismat se hue aaj KHaridar ikaTThe
zulm to ye hai ki azbar na rahe ġhurbat meñ
ek hāfiz se javānī kī hifāzat na huī
zulm to ye hai ki azbar na rahe ghurbat mein
ek hafiz se jawani ki hifazat na hui
ham bhī 'ġhālib' kī tarah kūcha-e-jānāñ se 'asad'
na nikalte to kisī roz nikāle jaate
hum bhi 'ghaalib' ki tarah kucha-e-jaanan se 'asad'
na nikalte to kisi roz nikale jate
saare marte haiñ usī ek parī chehre par
ham bhī un galiyoñ meñ bekār se ho aate haiñ
sare marte hain usi ek pari chehre par
hum bhi un galiyon mein bekar se ho aate hain
sirf ik terī nigāhoñ kā chunīda to na thā
maiñ sabhī kā thā mujhe tū ne ḳharīdā to na thā
sirf ek teri nigahon ka chunida to na tha
main sabhi ka tha mujhe tu ne KHarida to na tha
tishnagī hai mirī āñkhoñ meñ use milne kī
paikar-e-yār kā bhī chāh-e-zaqan khīñchtā hai
tishnagi hai meri aankhon mein use milne ki
paikar-e-yar ka bhi chah-e-zaqan khinchta hai
subūt aaj bhī merī kitāb meñ hai 'asad'
vo ek ruq.a tirā tere dastaḳhat ke saath
subut aaj bhi meri kitab mein hai 'asad'
wo ek ruqa tera tere dastaKHat ke sath
rāsta saaf nazar aatā hai raahī to nahīñ
kuchh kaho rāh-e-mohabbat meñ tabāhī to nahīñ
rasta saf nazar aata hai rahi to nahin
kuchh kaho rah-e-mohabbat mein tabahi to nahin
TuuTā huā vajūd hai TuuTā huā hai jism
merā to mah-jabīnoñ ne luuTā huā hai jism
TuTa hua wajud hai TuTa hua hai jism
mera to mah-jabinon ne luTa hua hai jism
vasvase Daste rahe ishq meñ sāñpoñ kī tarah
be-asā rāh-e-ḳhatarnāk pe din guzre haiñ
waswase Daste rahe ishq mein sanpon ki tarah
be-asa rah-e-KHatarnak pe din guzre hain
tuyūr-e-husn bhī kal tak qafas meñ hoñge 'asad'
ki ham ne dekhe haiñ daane qarīb jāloñ ke
tuyur-e-husn bhi kal tak qafas mein honge 'asad'
ki hum ne dekhe hain dane qarib jalon ke
mirī nigāh rahe sirf rū-e-qātil par
guloñ pe ḳhanjar-e-be-ābdār chaltā rahe
meri nigah rahe sirf ru-e-qatil par
gulon pe KHanjar-e-be-abdar chalta rahe
zabt ke shahr se niklā hai jo lashkar le kar
dasht-e-hairat kī kaḌī dhuup meñ jaltā jaa.e
zabt ke shahr se nikla hai jo lashkar le kar
dasht-e-hairat ki kaDi dhup mein jalta jae
qāfile vāloñ ko khā jā.egī ye sust-ravī
sārbānoñ ko subuk-ḳhez kareñ chalte chaleñ
qafile walon ko kha jaegi ye sust-rawi
sarbanon ko subuk-KHez karen chalte chalen
zākir-e-āl-e-mohammad hai tū mimbar pe 'asad'
ibn-e-marjāna ke jaisā ye labāda kaisā
zakir-e-al-e-mohammad hai tu mimbar pe 'asad'
ibn-e-marjaana ke jaisa ye labaada kaisa
nit-nayā tū ne zamāne meñ ḳharīdā badlā
tere kahne pe kahāñ ham ne aqīda badlā
nit-naya tu ne zamane mein KHarida badla
tere kahne pe kahan hum ne aqida badla
guzar na jaa.e ye mausam basant kā mausam
banafsha phuul khile har taraf zamīñ ke liye
guzar na jae ye mausam basant ka mausam
banafsha phul khile har taraf zamin ke liye
Duub jaa.e na kahīñ zor-e-talātum meñ 'asad'
ik nazar shāh-e-umam mere safīne kī taraf
Dub jae na kahin zor-e-talatum mein 'asad'
ek nazar shah-e-umam mere safine ki taraf
hairat hai aaj chashm-e-zamāna-shanās meñ
dekhā gayā hai us ko ġhazal ke libās meñ
hairat hai aaj chashm-e-zamana-shanas mein
dekha gaya hai us ko ghazal ke libas mein