Sher of Ashraf Ali Fughan
mujh se jo pūchhte ho to har haal shukr hai
yuuñ bhī guzar ga.ī mirī vuuñ bhī guzar ga.ī
mujh se jo puchhte ho to har haal shukr hai
yun bhi guzar gai meri wun bhi guzar gai
jugnū miyāñ kī dum jo chamaktī hai raat ko
sab dekh dekh us ko bajāte haiñ tāliyāñ
jugnu miyan ki dum jo chamakti hai raat ko
sab dekh dekh us ko bajate hain taliyan
kab dard se dil ko taab aayā
āñkhoñ meñ kahāñ se ḳhvāb aayā
kab dard se dil ko tab aaya
aankhon mein kahan se KHwab aaya
dil-bastagī qafas se yahāñ tak huī mujhe
goyā kabhī chaman meñ merā āshiyāñ na thā
dil-bastagi qafas se yahan tak hui mujhe
goya kabhi chaman mein mera aashiyan na tha
ai shaiḳh agar kufr se islām judā hai
pas chāhiye tasbīh meñ zunnār na hotā
ai shaiKH agar kufr se islam juda hai
pas chahiye tasbih mein zunnar na hota
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
merī taraf se ḳhātir-e-sayyād jamā hai
kyā uḌ sakegā tā.ir-e-be-bāl-o-par kahīñ
meri taraf se KHatir-e-sayyaad jama hai
kya uD sakega tair-e-be-baal-o-par kahin