Dohe of Aslam Haneef
phailā huā hai har-taraf ek ajab haijān
shahr meñ aa kar miT ga.ī merī bhī pahchān
phaila hua hai har-taraf ek ajab haijaan
shahr mein aa kar miT gai meri bhi pahchan
bure jo tere dost haiñ burā na un ko jaan
hotī nahīñ badbū binā ḳhushbū kī pahchān
bure jo tere dost hain bura na un ko jaan
hoti nahin badbu bina KHushbu ki pahchan
tū mere ehsās kā jab bhī banā ādhār
sūraj merī oT se niklā sau sau baar
tu mere ehsas ka jab bhi bana aadhaar
suraj meri oT se nikla sau sau bar
jab bhī aa.uuñ chorī-chhupe us ke ghar kī or
duniyā dekhe baag sī man meñ nāche mor
jab bhi aaun chori-chhupe us ke ghar ki or
duniya dekhe bag si man mein nache mor
har-pal ik āzār hai har-pag ik āzār
sachchā.ī kī raah par chalnā hai dushvār
har-pal ek aazar hai har-pag ek aazar
sachchai ki rah par chalna hai dushwar
gorī lauTī baaġh se gaatī huī malhār
kirnoñ ko jab chug ga.ī chiḌiyoñ kī chahkār
gori lauTi bagh se gati hui malhaar
kirnon ko jab chug gai chiDiyon ki chahkar
duniyā ko ham siikh deñ badleñ na apne Dhang
ye bhī ik khilvāḌ hai sachchā.ī ke sang
duniya ko hum sikh den badlen na apne Dhang
ye bhi ek khilwaD hai sachchai ke sang
maiñ terī jānib chalā bādal merī or
sūraj sar par aa gayā huī na phir bhī bhor
main teri jaanib chala baadal meri or
suraj sar par aa gaya hui na phir bhi bhor