Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Ateeq Asar

1952 | Basti, India

Sher of Ateeq Asar

qarīb se na guzar intizār baaqī rakh

qarābatoñ magar e'tibār baaqī rakh

qarib se na guzar intizar baqi rakh

qarabaton ka magar e'tibar baqi rakh

masarrat aur ġham donoñ koī had zarūrī hai

kisī bhī ek shai silsila achchhā nahīñ lagtā

masarrat aur gham donon ki koi had zaruri hai

kisi bhi ek shai ka silsila achchha nahin lagta

churā ke laa.e haiñ kuchh log lafz ke motī

inheñ vo bech rahe haiñ dukāñ dukāñ ho kar

chura ke lae hain kuchh log lafz ke moti

inhen wo bech rahe hain dukan dukan ho kar

uThe jaate haiñ dīda-var sabhī āhista āhista

ye duniyā mo'tabar logoñ se ḳhālī hotī jaatī hai

uThe jate hain dida-war sabhi aahista aahista

ye duniya mo'tabar logon se KHali hoti jati hai

vo baat mujh ko to dushnām lagī hai 'atīq'

tumhārā naam likhā kis ne be-vafāoñ meñ

wo baat mujh ko to dushnam si lagi hai 'atiq'

tumhaara nam likha kis ne be-wafaon mein

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now