Sher of Azhar Bakhsh Azhar
kaho husn-e-jamāl-yār se ye itnī saj-dhaj kyoñ
bharī barsāt meñ paudoñ ko paanī kaun detā hai
kaho husn-e-jamal-yar se ye itni saj-dhaj kyon
bhari barsat mein paudon ko pani kaun deta hai
ḳhūñ-bahā dete haiñ zālim taḳht paane ke liye
log kitnā gir ga.e ḳhud ko uThāne ke liye
KHun-baha dete hain zalim taKHt pane ke liye
log kitna gir gae KHud ko uThane ke liye
husn kī devī banī baiThī haiñ dil hai but-kada
chand muslim laḌkiyoñ ne ham ko hindū kar diyā
husn ki dewi bani baiThi hain dil hai but-kada
chand muslim laDkiyon ne hum ko hindu kar diya
zillat se to behtar hai ki ik jang laḌo tum
yuuñ haar bhī jāoge to buzdil na rahoge
zillat se to behtar hai ki ek jang laDo tum
yun haar bhi jaoge to buzdil na rahoge
jab kamsin se ishq laḌānā paḌtā hai
bachchoñ jaisā paaTh paḌhānā paḌtā hai
jab kamsin se ishq laDana paDta hai
bachchon jaisa paTh paDhana paDta hai
har vaqt kase rahte haiñ maaoñ kī piiTh se
godī meñ nahīñ khelte mazdūr ke bachche
har waqt kase rahte hain maon ki piTh se
godi mein nahin khelte mazdur ke bachche
hamāre jitne bachche the parinde ho ga.e saare
ye vo ghar hai jahāñ par ab koī bachcha nahīñ rahtā
hamare jitne bachche the parinde ho gae sare
ye wo ghar hai jahan par ab koi bachcha nahin rahta
de kar fareb mujh ko gayā thā vo shoḳh-tan
khā kar fareb lauTā to siine se lag gayā
de kar fareb mujh ko gaya tha wo shoKH-tan
kha kar fareb lauTa to sine se lag gaya
aaj 'az.har' se kyā mile ho tum
phuul jaise khile khile ho tum
aaj 'azhar' se kya mile ho tum
phul jaise khile khile ho tum
un ke ḳhemoñ meñ haiñ sab log kamar-basta magar
ham meñ ġhaflat kī hai bhar-mār ḳhudā ḳhair kare
un ke KHemon mein hain sab log kamar-basta magar
hum mein ghaflat ki hai bhar-mar KHuda KHair kare
tum ne dekhā nahīñ hogā kabhī aisā qātil
jo lahū chūsne kā jashn manāne nikle
tum ne dekha nahin hoga kabhi aisa qatil
jo lahu chusne ka jashn manane nikle
ik ġhazal to mire hāthoñ se misālī ho jaa.e
kaash ki tū mirā mahbūb-e-ḳhayālī ho jaa.e
ek ghazal to mere hathon se misali ho jae
kash ki tu mera mahbub-e-KHayali ho jae
tum chitā in kī jalāo na karo dafn inheñ
pyaar ke ḳhat haiñ ye hindū yā musalmān nahīñ
tum chita in ki jalao na karo dafn inhen
pyar ke KHat hain ye hindu ya musalman nahin