Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Azhar Hashmi Sabqat's Photo'

Azhar Hashmi Sabqat

1990 | Munger, India

Azhar Hashmi Sabqat

Ghazal 16

Sher-o-Shayari 15

miltī hai ḳhushī sab ko jaise kahīñ se bhī

bhūlī hui bachpan tasvīr nikaltī hai

milti hai KHushi sab ko jaise hi kahin se bhi

bhuli hui bachpan ki taswir nikalti hai

ye jo behāl manzar ye jo bīmār se ham tum

siyāsat navāzish hai kisī se kuchh nahīñ boleñ

ye jo behaal sa manzar ye jo bimar se hum tum

siyasat ki nawazish hai kisi se kuchh nahin bolen

ye tamannā hai ḳhudā ālam-e-hastī meñ tire

maiñ ayaañ dekhnā chāhūñ to nihāñ tak dekhūñ

ye tamanna hai KHuda aalam-e-hasti mein tere

main ayan dekhna chahun to nihan tak dekhun

bas rañj hai dāstāñ unvān hazāroñ

jiine ke liye mar ga.e insān hazāroñ

bas ranj ki hai dastan unwan hazaron

jine ke liye mar gae insan hazaron

dekhā nahīñ jis ne mire tūfāñ ko sukūñ meñ

vo shaḳhs mirī ruuh ke andar nahīñ utrā

dekha nahin jis ne mere tufan ko sukun mein

wo shaKHs meri ruh ke andar nahin utra

RELATED Poets

More Poets From "Munger"

 

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now