Azhar Nawaz
Ghazal 7
Sher-o-Shayari 7
ḳhūbsūrat hai sirf bāhar se
ye imārat bhī aadmī sī hai
KHubsurat hai sirf bahar se
ye imarat bhi aadmi si hai
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
koī kirdār adā kartā hai qīmat is kī
jab kahānī ko nayā moḌ diyā jaatā hai
koi kirdar ada karta hai qimat is ki
jab kahani ko naya moD diya jata hai
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
kisī buzdil kī sūrat ghar se ye bāhar nikaltā hai
mirā ġhussa kisī kamzor ke uupar nikaltā hai
kisi buzdil ki surat ghar se ye bahar nikalta hai
mera ghussa kisi kamzor ke upar nikalta hai
- Add to favorites
-
Share this
mohtaram kah ke mujhe us ne pashemān kiyā
koī pahlū na milā jab mirī rusvā.ī kā
mohtaram kah ke mujhe us ne pasheman kiya
koi pahlu na mila jab meri ruswai ka
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
jo merā jhuuT hai akasr mire andar nikaltā hai
jise kam-tar samajhtā huuñ vahī behtar nikaltā hai
jo mera jhuT hai akasr mere andar nikalta hai
jise kam-tar samajhta hun wahi behtar nikalta hai
- Add to favorites
-
Share this
Videos 3
