Sher of Aziz Ahmad Khan Shafaq
raat ik shaḳhs bahut yaad aayā
jis ghaḌī chāñd numūdār huā
raat ek shaKHs bahut yaad aaya
jis ghaDi chand numudar hua
añdherā itnā hai ab shahr ke muhāfiz ko
har ek raat koī ghar jalānā paḌtā hai
andhera itna hai ab shahr ke muhafiz ko
har ek raat koi ghar jalana paDta hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
shafaq kā rañg kitne vālehāna-pan se bikhrā hai
zamīñ o āsmāñ ne mil ke unvān-e-sahar likkhā
shafaq ka rang kitne walehana-pan se bikhra hai
zamin o aasman ne mil ke unwan-e-sahar likkha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
na jaane kaun apāhij banā rahā hai hameñ
safar meñ tark-e-safar kā ḳhayāl kyuuñ aayā
na jaane kaun apahij bana raha hai hamein
safar mein tark-e-safar ka KHayal kyun aaya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
bahut dinoñ se idhar us ko yaad bhī na kiyā
bahut dinoñ se udhar kā ḳhayāl kyuuñ aayā
bahut dinon se idhar us ko yaad bhi na kiya
bahut dinon se udhar ka KHayal kyun aaya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download