Sher of Aziz Faisal
hai kāmyābī-e-mardāñ meñ haath aurat kā
magar tū ek hī aurat pe inhisār na kar
hai kaamyabi-e-mardan mein hath aurat ka
magar tu ek hi aurat pe inhisar na kar
maiñ ek borī meñ laayā huuñ bhar ke mūñg-phalī
kisī ke saath december kī raat kāTnī hai
main ek bori mein laya hun bhar ke mung-phali
kisi ke sath december ki raat kaTni hai
vo tiis saal se hai faqat biis saal kī
chehre pe aa chukī hai buzurgī jamāl kī
wo tis sal se hai faqat bis sal ki
chehre pe aa chuki hai buzurgi jamal ki
de rahe haiñ is liye jañgal meñ dharnā jānvar
ek chūhe ko rihā.ish ke liye bil chāhiye
de rahe hain is liye jangal mein dharna jaanwar
ek chuhe ko rihaish ke liye bil chahiye
kitnī mazāhiya hai ye botal ke jin kī baat
aaqā ab inqalāb hai do chaar din kī baat
kitni mazahiya hai ye botal ke jin ki baat
aaqa ab inqalab hai do chaar din ki baat
kuude haiñ us ke sehn meñ do-chār sher-dil
ham facebōk kī wall se aage nahīñ ga.e
kude hain us ke sehn mein do-chaar sher-dil
hum facebook ki wall se aage nahin gae
ve bāloñ meñ color lagvā chukā hai
ye dhoka pāñch sau meñ khā chukā hai
we baalon mein color lagwa chuka hai
ye dhoka panch sau mein kha chuka hai
ishq meñ ye tafraqa-bāzī bahut ma.ayūb hai
pyaar ko shii.a vahābī aur sunnī mat samajh
ishq mein ye tafraqa-bazi bahut mayub hai
pyar ko shia wahabi aur sunni mat samajh
vo saaḌī jewellery ke tahā.if pe thī ba-zid
ham sau ruupe kī shaal se aage nahīñ ga.e
wo saDi jewellery ke tahaif pe thi ba-zid
hum sau rupe ki shaal se aage nahin gae
mo.arriḳh likh na deñ suqrāt mujh ko
maiñ lassī kā piyāla pī rahā huuñ
moarriKH likh na den suqraat mujh ko
main lassi ka piyala pi raha hun
na ye qānūn kaam aayā thā rāñjhe ke zarā sā bhī
usī ko bhaiñs miltī hai ho jis ke haath meñ lāThī
na ye qanun kaam aaya tha ranjhe ke zara sa bhi
usi ko bhains milti hai ho jis ke hath mein laThi
cable pe ek shef se jaldī meñ siikh kar
laa.ī vo shimla-mirch kā halva mire liye
cable pe ek shef se jaldi mein sikh kar
lai wo shimla-mirch ka halwa mere liye
aisī ḳhvāhish ko samajhtā huuñ maiñ bilkul natural
doctor ko shahr kā har mard o zan ill chāhiye
aisi KHwahish ko samajhta hun main bilkul natural
doctor ko shahr ka har mard o zan ill chahiye
thakā haarā nikal kar ghar se apne
vo phir office meñ sone jā chukā hai
thaka haara nikal kar ghar se apne
wo phir office mein sone ja chuka hai
aise bandoñ ko jāntā huuñ maiñ
jin kā vāhid ilaaj mālish hai
aise bandon ko jaanta hun main
jin ka wahid ilaj malish hai
vo aftārī se pahle chakhte chakhte
khujūreñ aur pakauḌe khā chukā hai
wo aftari se pahle chakhte chakhte
khujuren aur pakauDe kha chuka hai
do ḳhat ba-nām-e-zauja-o-jānāñ likhe magar
donoñ ḳhatoñ kā us se lifāfa badal gayā
do KHat ba-nam-e-zauja-o-jaanan likhe magar
donon KHaton ka us se lifafa badal gaya
das baara ġhazliyāt jo rakhtā hai jeb meñ
bazm-e-suḳhan meñ hai vo nishānī vabāl kī
das bara ghazliyat jo rakhta hai jeb mein
bazm-e-suKHan mein hai wo nishani wabaal ki
ye diyā massage twēter par fasādī shaḳhs ne
us ko jaltī ke liye fil-faur oil chāhiye
ye diya massage tweeter par fasadi shaKHs ne
us ko jalti ke liye fil-faur oil chahiye
begam se kah rahā thā ye koī ḳhalā-navard
baiThī huī hai chāñd pe ''guḌiyā'' mire liye
begam se kah raha tha ye koi KHala-naward
baiThi hui hai chand pe guDiya mere liye