Sher of Badr Wasti
azaab hotī haiñ aksar shabāb kī ghaḌiyāñ
gulāb apnī hī ḳhushbū se Darne lagte haiñ
azab hoti hain aksar shabab ki ghaDiyan
gulab apni hi KHushbu se Darne lagte hain
har shaḳhs ko gumān ki manzil nahīñ hai duur
ye to batā.iye ki pata kis ke paas hai
har shaKHs ko guman ki manzil nahin hai dur
ye to bataiye ki pata kis ke pas hai
qātil kī saarī sāzisheñ nākām hī rahīñ
chehra kuchh aur khil uThā zahrāb gar piyā
qatil ki sari sazishen nakaam hi rahin
chehra kuchh aur khil uTha zahrab gar piya
āj-kal to sab ke sab T.v ke dīvāne hue
varna bachche to liyā karte the pāgal ke maze
aaj-kal to sab ke sab Tw ke diwane hue
warna bachche to liya karte the pagal ke maze
phaldār daraḳhtoñ ne rijhāyā to mujhe bhī
āzād parindoñ ke liye shāḳh-o-samar kyā
phaldar daraKHton ne rijhaya to mujhe bhi
aazad parindon ke liye shaKH-o-samar kya
lahū kā āḳhirī qatra nichoḌne par bhī
taqāze reñgte rahte haiñ rañg-o-bū ke liye
lahu ka aaKHiri qatra nichoDne par bhi
taqaze rengte rahte hain rang-o-bu ke liye