Sher of Bashar Nawaz
karoge yaad to har baat yaad aa.egī
guzarte vaqt kī har mauj Thahar jā.egī
karoge yaad to har baat yaad aaegi
guzarte waqt ki har mauj Thahar jaegi
de nishānī koī aisī ki sadā yaad rahe
zaḳhm kī baat hai kyā zaḳhm to bhar jā.eñge
de nishani koi aisi ki sada yaad rahe
zaKHm ki baat hai kya zaKHm to bhar jaenge
pyaar ke bandhan ḳhuun ke rishte TuuT ga.e ḳhvāboñ kī tarah
jāgtī āñkheñ dekh rahī thiiñ kyā kyā kārobār hue
pyar ke bandhan KHun ke rishte TuT gae KHwabon ki tarah
jagti aankhen dekh rahi thin kya kya karobar hue
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kahte kahte kuchh badal detā hai kyuuñ bātoñ kā ruḳh
kyuuñ ḳhud apne-āp ke bhī saath vo sachchā nahīñ
kahte kahte kuchh badal deta hai kyun baaton ka ruKH
kyun KHud apne-ap ke bhi sath wo sachcha nahin
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jaane kin rishtoñ ne mujh ko bāñdh rakkhā hai ki maiñ
muddatoñ se āñdhiyoñ kī zad meñ huuñ bikhrā nahīñ
jaane kin rishton ne mujh ko bandh rakkha hai ki main
muddaton se aandhiyon ki zad mein hun bikhra nahin
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
koī yādoñ se joḌ le ham ko
ham bhī ik TūTtā sā rishta haiñ
koi yaadon se joD le hum ko
hum bhi ek TuTta sa rishta hain
-
Tag : Yaad
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ye ehtimām-e-charāġhāñ bajā sahī lekin
sahar to ho nahīñ saktī diye jalāne se
ye ehtimam-e-charaghan baja sahi lekin
sahar to ho nahin sakti diye jalane se
bahut thā ḳhauf jis kā phir vahī qissā nikal aayā
mire dukh se kisī āvāz kā rishtā nikal aayā
bahut tha KHauf jis ka phir wahi qissa nikal aaya
mere dukh se kisi aawaz ka rishta nikal aaya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vahī hai rañg magar bū hai kuchh lahū jaisī
ye ab kī fasl meñ khilte gulāb kaise haiñ
wahi hai rang magar bu hai kuchh lahu jaisi
ye ab ki fasl mein khilte gulab kaise hain
tujh meñ aur mujh meñ ta.alluq hai vahī
hai jo rishta saaz aur mizrāb meñ
tujh mein aur mujh mein talluq hai wahi
hai jo rishta saz aur mizrab mein
ghaTtī baḌhtī raushniyoñ ne mujhe samjhā nahīñ
maiñ kisī patthar kisī dīvār kā saayā nahīñ
ghaTti baDhti raushniyon ne mujhe samjha nahin
main kisi patthar kisi diwar ka saya nahin
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tez havā.eñ āñkhoñ meñ to ret dukhoñ kī bhar hī ga.iiñ
jalte lamhe rafta rafta dil ko bhī jhulsā.eñge
tez hawaen aankhon mein to ret dukhon ki bhar hi gain
jalte lamhe rafta rafta dil ko bhi jhulsaenge
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download