1994 | Jammu and Kashmir, India
mohabbat bāñTanā sīkho mohabbat hai atā rab kī
mohabbat bāñTne vaale tavīl-ul-umr hote haiñ
mohabbat banTana sikho mohabbat hai ata rab ki
mohabbat banTne wale tawil-ul-umr hote hain
hasīñ yādeñ vo bachpan kī kahīñ dil se na kho jaa.eñ
maiñ apne āshiyāne meñ khilaune ab bhī rakhtā huuñ
hasin yaaden wo bachpan ki kahin dil se na kho jaen
main apne aashiyane mein khilaune ab bhi rakhta hun
jise manzil samajh kar ruk ga.e ham
vahīñ se apnā āġhāz-e-safar thā
jise manzil samajh kar ruk gae hum
wahin se apna aaghaz-e-safar tha
ye bātoñ meñ narmī ye tahzīb-o-ādāb
sabhī kuchh milā ham ko urdu zabāñ se
ye baaton mein narmi ye tahzib-o-adab
sabhi kuchh mila hum ko urdu zaban se
shāyad hamāre hijr meñ lafzoñ kā haath thā
ik lafz-e-ġhair ne to parāyā hī kar diyā
shayad hamare hijr mein lafzon ka hath tha
ek lafz-e-ghair ne to paraya hi kar diya
Sign up and enjoy FREE unlimited access to a whole Universe of Urdu Poetry, Language Learning, Sufi Mysticism, Rare Texts
Jashn-e-Rekhta | 2-3-4 December 2022 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate, New Delhi
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online