Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Bharat Bhushan Pant's Photo'

Bharat Bhushan Pant

1958 - 2019 | Lucknow, India

One of the most prominent contemporary ghazal poets in India

One of the most prominent contemporary ghazal poets in India

Bharat Bhushan Pant

Ghazal 39

Sher-o-Shayari 38

ghar se nikal kar jaatā huuñ maiñ roz kahāñ

ik din apnā pīchhā kar ke dekhā jaa.e

ghar se nikal kar jata hun main roz kahan

ek din apna pichha kar ke dekha jae

ek jaise lag rahe haiñ ab sabhī chehre mujhe

hosh ye intihā hai bahut nashshe meñ huuñ

ek jaise lag rahe hain ab sabhi chehre mujhe

hosh ki ye intiha hai ya bahut nashshe mein hun

  • Share this

is tarah to aur bhī dīvāngī baḌh jā.egī

pāgaloñ ko pāgaloñ se duur rahnā chāhiye

is tarah to aur bhi diwangi baDh jaegi

pagalon ko pagalon se dur rahna chahiye

har taraf thī ḳhāmoshī aur aisī ḳhāmoshī

raat apne saa.e se ham bhī Dar ke ro.e the

har taraf thi KHamoshi aur aisi KHamoshi

raat apne sae se hum bhi Dar ke roe the

ham kāfiroñ ne shauq meñ roza to rakh liyā

ab hausla baḌhāne ko iftār bhī to ho

hum kafiron ne shauq mein roza to rakh liya

ab hausla baDhane ko iftar bhi to ho

  • Share this

BOOKS 19

Image Shayari 3

 

More Poets From "Lucknow"

Recitation

Speak Now