Sher of Bushra Bakhtiyar Khan
maiñ chāhūñ bhī to zamāna badal nahīñ saktī
ki 'bushrā' log yahāñ jhuuT bolte haiñ bahut
main chahun bhi to zamana badal nahin sakti
ki 'bushra' log yahan jhuT bolte hain bahut
ham manziloñ ke baasī kab se bhaTak rahe haiñ
kab raah par chalegā ye rāsta hamārā
hum manzilon ke basi kab se bhaTak rahe hain
kab rah par chalega ye rasta hamara
jis ruup meñ bhī chāho ham aa mileñge tum ko
nuur aur ḳhaak tak hai sab silsila hamārā
jis rup mein bhi chaho hum aa milenge tum ko
nur aur KHak tak hai sab silsila hamara
use kaho ki use baḳhsh dūñgī saarā jahāñ
use kaho ki mirī samt ek baar aa.e
use kaho ki use baKHsh dungi sara jahan
use kaho ki meri samt ek bar aae
hameñ to saañs bhī lene kī fursateñ na rahīñ
kisī kī yaad ke muñh-zor silsile haiñ bahut
hamein to sans bhi lene ki fursaten na rahin
kisi ki yaad ke munh-zor silsile hain bahut
dair-o-haram pukārne aa.e hameñ magar
lekin ḳhayāl-e-yār se fursat nahīñ milī
dair-o-haram pukarne aae hamein magar
lekin KHayal-e-yar se fursat nahin mili
jab apnī āñkhoñ se chehre ka.ī utaar aa.e
qadam qadam pe ka.ī baar phir ġhubār aa.e
jab apni aankhon se chehre kai utar aae
qadam qadam pe kai bar phir ghubar aae
zulmat ke kārobār se fursat nahīñ milī
jis ko tire dayār se fursat nahīñ milī
zulmat ke karobar se fursat nahin mili
jis ko tere dayar se fursat nahin mili