Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Danish Aligarhi's Photo'

Danish Aligarhi

1931 | Aligarh, India

Sher of Danish Aligarhi

zarre zarre meñ mahak pyaar Daalī jaa.e

ta.assub har ik dil se nikālī jaa.e

TRANSLATION

In every particle let us pour the love’s fragrance,

Let every heart be free of the smell of intolerance.

Sagar Akbarabadi

zarre zarre mein mahak pyar ki Dali jae

bu tassub ki har ek dil se nikali jae

TRANSLATION

In every particle let us pour the love’s fragrance,

Let every heart be free of the smell of intolerance.

Sagar Akbarabadi

muskurā kar un milnā aur bichhaḌnā ruuTh kar

bas yahī do lafz ik din dāstāñ ho jā.eñge

muskura kar un ka milna aur bichhaDna ruTh kar

bas yahi do lafz ek din dastan ho jaenge

āḳhirī vaqt talak saath andheroñ ne diyā

raas aate nahīñ duniyā ke ujāle mujh ko

aaKHiri waqt talak sath andheron ne diya

ras aate nahin duniya ke ujale mujh ko

ho ke majbūr ye bachchoñ ko sabaq denā hai

ab qalam chhoḌ ke talvār uThā jaa.e

ho ke majbur ye bachchon ko sabaq dena hai

ab qalam chhoD ke talwar uTha li jae

tere firāq ne zindagī atā mujh ko

terā visāl jo miltā to mar gayā hotā

tere firaq ne ki zindagi ata mujh ko

tera visal jo milta to mar gaya hota

gar tarannum par 'dānish' munhasir hai shā.irī

phir to duniyā bhar ke shā.ir naġhma-ḳhvāñ ho jā.eñge

gar tarannum par hi 'danish' munhasir hai shairi

phir to duniya bhar ke shair naghma-KHwan ho jaenge

apne dushman ko bhī ḳhud baḌh ke lagā lo siine

baat bigḌī huī is tarah banā jaa.e

apne dushman ko bhi KHud baDh ke laga lo sine

baat bigDi hui is tarah bana li jae

rūdād-e-shab-e-ġham yuuñ Dartā huuñ sunāne se

mahfil meñ kahīñ un sūrat na utar jaa.e

rudad-e-shab-e-gham yun Darta hun sunane se

mahfil mein kahin un ki surat na utar jae

Recitation

Speak Now