Sher of Daood Mohsin
har ek shaam sañvar jā.egī mirī 'mohsin'
har ek baat tumhārī hai shā.irī kī tarah
har ek sham sanwar jaegi meri 'mohsin'
har ek baat tumhaari hai shairi ki tarah
nahīñ hai paas kisī kā kisī ko ai 'mohsin'
ki aazmā ki unheñ baar baar dekhā hai
nahin hai pas kisi ka kisi ko ai 'mohsin'
ki aazma ki unhen bar bar dekha hai
zindagī TuuT ke bikhrī hai sar-e-rāh abhī
hādisa kahiye ise yā ki tamāshā kahiye
zindagi TuT ke bikhri hai sar-e-rah abhi
hadisa kahiye ise ya ki tamasha kahiye
itne fareb khaa.e haiñ qurbat meñ yaar kī
'mohsin' fareb aur bhī khāyā na jā.egā
itne fareb khae hain qurbat mein yar ki
'mohsin' fareb aur bhi khaya na jaega
kaun apnā hai yahāñ kaun parāyā kahiye
kaun detā hai bhalā dukh meñ sahārā kahiye
kaun apna hai yahan kaun paraya kahiye
kaun deta hai bhala dukh mein sahaara kahiye
maiñ chāhtā huuñ tumheñ apnī zindagī kī tarah
mire vajūd pe chhā jaao chāñdnī kī tarah
main chahta hun tumhein apni zindagi ki tarah
mere wajud pe chha jao chandni ki tarah
afsāna dard-o-ġham kā sunāyā na jā.egā
ab zaḳhm-e-dil kisī ko dikhāyā na jā.egā
afsana dard-o-gham ka sunaya na jaega
ab zaKHm-e-dil kisi ko dikhaya na jaega
baat tere naam kī hone lagī
dil meñ mere sansanī hone lagī
baat tere nam ki hone lagi
dil mein mere sansani hone lagi
sāre-jahāñ meñ qisse ye mash.hūr ho ga.e
bhaa.ī hamāre munkir-e-dastūr ho ga.e
sare-jahan mein qisse ye mashhur ho gae
bhai hamare munkir-e-dastur ho gae
masnadeñ taḳht-o-tāj dastāreñ
kaun kis ke liye luTāte haiñ
masnaden taKHt-o-taj dastaren
kaun kis ke liye luTate hain
har taraf dard kā aahoñ kā samāñ hotā hai
paanī jaltā hai samundar meñ dhuāñ hotā hai
har taraf dard ka aahon ka saman hota hai
pani jalta hai samundar mein dhuan hota hai
zabt kī thī shart dil se jaane kyuuñ
lamha lamha bekalī hone lagī
zabt ki thi shart dil se jaane kyun
lamha lamha bekali hone lagi
rafāqatoñ kā jahāñ tār-tār dekhā hai
vajūd-e-zīst kā uḌtā ġhubār dekhā hai
rafaqaton ka jahan tar-tar dekha hai
wajud-e-zist ka uDta ghubar dekha hai
lamha lamha pukāre jaate haiñ
kaun dil ke qarīb aate haiñ
lamha lamha pukare jate hain
kaun dil ke qarib aate hain
zaḳhm-e-dil dāġh-e-jigar dāġh-e-tamannā kī qasam
chāñd se phuul se Dar ham ko yahāñ hotā hai
zaKHm-e-dil dagh-e-jigar dagh-e-tamanna ki qasam
chand se phul se Dar hum ko yahan hota hai
kitnā ajīb-tar hai aqīda janāb kā
patthar kī mūratoñ se vafā maañg rahe ho
kitna ajib-tar hai aqida janab ka
patthar ki muraton se wafa mang rahe ho