Sher of Deepak Purohit
achchhā huā zabān-e-ḳhamoshī na tum paḌhe
shikve mire vagarna rulāte tumheñ bahut
achchha hua zaban-e-KHamoshi na tum paDhe
shikwe mere wagarna rulate tumhein bahut
ki hai muḳhtasar dāstāñ ishq kī
gale mil ke koī gale paḌ gayā
ki hai muKHtasar dastan ishq ki
gale mil ke koi gale paD gaya
vatan-parastī hamārā maz.hab haiñ jism-o-jāñ mulk kī amānat
kareñge barpā qahr adū par rahegā daa.im vatan salāmat
watan-parasti hamara mazhab hain jism-o-jaan mulk ki amanat
karenge barpa qahr adu par rahega daim watan salamat
ye kaisī bad-duā dī hai kisī ne
samundar huuñ magar khārā huā huuñ
ye kaisi bad-dua di hai kisi ne
samundar hun magar khaara hua hun
thā kabhī un kī nigāhoñ meñ buland apnā maqām
itnī ūñchā.ī se gir kar bhī koī bachtā hai
tha kabhi un ki nigahon mein buland apna maqam
itni unchai se gir kar bhi koi bachta hai
havas-e-zar ne kiyā rishtoñ kā jo haal na pūchh
ḳhuuñ rulātā hai yahāñ ḳhuun kā rishta apnā
hawas-e-zar ne kiya rishton ka jo haal na puchh
KHun rulata hai yahan KHun ka rishta apna
azal se barse hai pākīzgī falak se yahāñ
numāyāñ hove hai phir shakl-e-bahan meñ vo yahāñ
azal se barse hai pakizgi falak se yahan
numayan howe hai phir shakl-e-bahan mein wo yahan
-
Tag : Raksha Bandhan
ḳhūb-rū kaun ye aayā chaman meñ aaj ki yaañ
sharm se surḳh hue jaate haiñ ye phuul sabhī
KHub-ru kaun ye aaya chaman mein aaj ki yan
sharm se surKH hue jate hain ye phul sabhi
yuuñ guftugū-e-ulfat dilchasp ham kareñge
āñkhoñ se tum kahoge āñkhoñ se ham suneñge
yun guftugu-e-ulfat dilchasp hum karenge
aankhon se tum kahoge aankhon se hum sunenge
ajab chalan hai ye bāzār-e-ishq kā ki yahāñ
chavannī chaltī hai rūpye meñ husn vāloñ kī
ajab chalan hai ye bazar-e-ishq ka ki yahan
chawanni chalti hai rupye mein husn walon ki
jab aanā ḳhvāb meñ haule se narmī se qadam rakhnā
garāñ hai ik zarā aahaT tire mahv-e-tasavvur ko
jab aana KHwab mein haule se narmi se qadam rakhna
garan hai ek zara aahaT tere mahw-e-tasawwur ko
lamhāt-e-vasl yaad jo aa.e shab-e-firāq
yak-laḳht surḳh ho ga.e aariz be-iḳhtiyār
lamhat-e-wasl yaad jo aae shab-e-firaq
yak-laKHt surKH ho gae aariz be-iKHtiyar
siyah-baḳhtī kā saaya dīda-o-dil par hai yuuñ taarī
ki ik muddat se mere din bhī kajlā.e hue se haiñ
siyah-baKHti ka saya dida-o-dil par hai yun tari
ki ek muddat se mere din bhi kajlae hue se hain
ek umr bhar meñ tai ye safar muḳhtasar huā
shahr-e-ḳhamoshāñ ghar se bahut duur to na thā
ek umr bhar mein tai ye safar muKHtasar hua
shahr-e-KHamoshan ghar se bahut dur to na tha
jab aanā ḳhvāb meñ haule se narmī se qadam rakhnā
garāñ hai ik zarā aahaT tire mahv-e-tasavvur ko
jab aana KHwab mein haule se narmi se qadam rakhna
garan hai ek zara aahaT tere mahw-e-tasawwur ko
hai ḳhuub manzar-e-chāra-garī ki ham ne yahāñ
duā ke dar pe hai dekhā davā ko sajde meñ
hai KHub manzar-e-chaara-gari ki hum ne yahan
dua ke dar pe hai dekha dawa ko sajde mein
thā kabhī un kī nigāhoñ meñ buland apnā maqām
itnī ūñchā.ī se gir kar bhī koī bachtā hai
tha kabhi un ki nigahon mein buland apna maqam
itni unchai se gir kar bhi koi bachta hai
to bach rahegā yaqīnan ye sirf āñkhoñ meñ
bachāyā tum ne na paanī jo vaqt ke rahte
to bach rahega yaqinan ye sirf aankhon mein
bachaya tum ne na pani jo waqt ke rahte
ḳhushāmad tābedārī minnat-o-ḳhidmat sujūd-e-husn
azal se dīdanī hai bebasī-o-ājizī-e-ishq
KHushamad tabedari minnat-o-KHidmat sujud-e-husn
azal se didani hai bebasi-o-ajizi-e-ishq
kahāñ jur.at in ashkoñ kī ki dehrī aañkh kī lāñgheñ
hai pahrā zabt kā aisā ki sahme sahme rahte haiñ
kahan jurat in ashkon ki ki dehri aankh ki langhen
hai pahra zabt ka aisa ki sahme sahme rahte hain
ajab chalan hai ye bāzār-e-ishq kā ki yahāñ
chavannī chaltī hai ruupe meñ husn vāloñ kī
ajab chalan hai ye bazar-e-ishq ka ki yahan
chawanni chalti hai rupe mein husn walon ki