Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Faheem Gorakhpuri

1878 | Gorakhpur, India

Sher of Faheem Gorakhpuri

kah ke ye pher liyā muñh mire afsāne se

fā.eda roz kahīñ baat ke dohrāne se

saying this, from my tale, she turned her face away

what will be gained by repeating this thing every day

kah ke ye pher liya munh mere afsane se

faeda roz kahin baat ke dohrane se

saying this, from my tale, she turned her face away

what will be gained by repeating this thing every day

kirdār dekhnā hai to sūrat na dekhiye

miltā nahīñ zamīñ patā āsmān se

kirdar dekhna hai to surat na dekhiye

milta nahin zamin ka pata aasman se

sab duniyā tabāh karte ho

tum bhī kyā ho ga.e ho america

sab ki duniya tabah karte ho

tum bhi kya ho gae ho america

kal jo gale milte the mujh se kal jo mujhe pahchānte the

aaj musāfir jaan ke kaise raste vo anjān hue

kal jo gale milte the mujh se kal jo mujhe pahchante the

aaj musafir jaan ke kaise raste wo anjaan hue

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now