Fahmi Badayuni
Ghazal 19
Sher-o-Shayari 36
pūchh lete vo bas mizāj mirā
kitnā āsān thā ilaaj mirā
puchh lete wo bas mizaj mera
kitna aasan tha ilaj mera
-
Share this
- See Ghazal
Image Shayari 2
jaahilo.n ko salaam karnaa hai aur phir jhuuT-muuT Darnaa hai kaash vo raaste me.n mil jaa.e mujh ko mu.nh pher kar guzarnaa hai puuchhtii hai sadaa-e-baal-o-par kyaa zamii.n par nahii.n utarnaa hai sochnaa kuchh nahii.n hame.n filhaal un se ko.ii bhii baat karnaa hai bhuuk se Dagmagaa rahe hai.n paa.nv aur baazaar se guzarnaa hai
bas tumhaaraa makaa.n dikhaa.ii diyaa jis me.n saaraa jahaa.n dikhaa.ii diyaa vo vahii.n thaa jahaa.n dikhaa.ii diyaa ishq me.n ye kahaa.n dikhaa.ii diyaa umr bhar par nahii.n mile ham ko umr bhar aasmaa.n dikhaa.ii diyaa roz diida-varo.n se kahtaa huu.n tuu kahaa.n thaa kahaa.n dikhaa.ii diyaa achchhe-KHaase qafas me.n rahte the jaane kyuu.n aasmaa.n dikhaa.ii diyaa