Sher of Faiyaz Aswad
is ta.alluq ko tū raste kī rukāvaT na samajh
ab kisī aur kā honā hai to chal jā ho jā
is talluq ko tu raste ki rukawaT na samajh
ab kisi aur ka hona hai to chal ja ho ja
kab kahā tū saath mere ḳhud-kushī kar
Dūbtā huuñ aur tū manzar-kashī kar
kab kaha tu sath mere KHud-kushi kar
Dubta hun aur tu manzar-kashi kar
husn kyā hai nazar kī shoḳhī hai
ishq kyā hai pata nahīñ kiyā hai
husn kya hai nazar ki shoKHi hai
ishq kya hai pata nahin kiya hai
kab se niklā huā hai kisī khoj meñ
chāñd apnī jagah par nahīñ aa rahā
kab se nikla hua hai kisi khoj mein
chand apni jagah par nahin aa raha
vo samajh to leñ ki yuuñ hai unheñ is se kyā ki kyuuñ hai
mirī ā.ankhoñ kī ye surḳhī mire hoñToñ kī siyāhī
wo samajh to len ki yun hai unhen is se kya ki kyun hai
meri aaankhon ki ye surKHi mere honTon ki siyahi