Sher of Fakhr Abbas
jab se us kī aañkh meñ aañsū dekhe haiñ
tab se mujh ko paanī se Dar lagtā hai
jab se us ki aankh mein aansu dekhe hain
tab se mujh ko pani se Dar lagta hai
mujhe Thukrā diyā tū ne faqat shā.ir samajh kar aaj
mirī nazmeñ tire bachche syllabus meñ paḌheñ to phir
mujhe Thukra diya tu ne faqat shair samajh kar aaj
meri nazmen tere bachche syllabus mein paDhen to phir
maiñ shahr meñ tanhā hī use DhūñD rahā huuñ
jo sab se chhupā.ī thī vahī chiiz gumī hai
main shahr mein tanha hi use DhunD raha hun
jo sab se chhupai thi wahi chiz gumi hai
vo chāhtā hai mahīna kaTe na jaldī se
kirā.e-dār ke dukh bhī ajiib hote haiñ
wo chahta hai mahina kaTe na jaldi se
kirae-dar ke dukh bhi ajib hote hain
ye jo lahore se mohabbat hai
ye kisī aur se mohabbat hai
ye jo lahore se mohabbat hai
ye kisi aur se mohabbat hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ai mohabbat mujh ko aisā hausla ḳhairāt kar
us ko baazū se pakaḌ kar kah sakūñ ki baat kar
ai mohabbat mujh ko aisa hausla KHairaat kar
us ko bazu se pakaD kar kah sakun ki baat kar
sar par ye jo chhat kā saaya hotā hai
dīvāroñ ne bojh uThāyā hotā hai
sar par ye jo chhat ka saya hota hai
diwaron ne bojh uThaya hota hai
rasmoñ ko nahīñ pairoñ kī zanjīr kiyā
maiñ ne jo mahsūs kiyā tahrīr kiyā
rasmon ko nahin pairon ki zanjir kiya
main ne jo mahsus kiya tahrir kiya
kabhī kabhī to mujhe daad itnī miltī hai
ki saare ghar kā guzāra usī se hotā hai
kabhi kabhi to mujhe dad itni milti hai
ki sare ghar ka guzara usi se hota hai