join rekhta family!
Ghazal 24
Sher 36
koī pāband-e-mohabbat hī batā saktā hai
ek dīvāne kā zanjīr se rishta kyā hai
koi paband-e-mohabbat hi bata sakta hai
ek diwane ka zanjir se rishta kya hai
-
Share this
- See Ghazal
Image shayari 7
ik tishna-lab ne ba.Dh ke jo saaGar uThaa liyaa har bul-havas ne mai-kada sar par uThaa liyaa maujo.n ke ittihaad kaa aalam na puuchhiye qatra uThaa aur uTh ke samundar uThaa liyaa tartiib de rahaa thaa mai.n fahrist-e-dushmanaan yaaro.n ne itnii baat pe KHanjar uThaa liyaa mai.n aisaa bad-nasiib ki jis ne azal ke roz phe.nkaa hu.aa kisii kaa muqaddar uThaa liyaa
Gam har ik aa.nkh ko chhalkaa.e zaruurii to nahii.n abr uThe aur baras jaa.e zaruurii to nahii.n barq sayyaad ke ghar par bhii to gir saktii hai aashiyaano.n pe hii lahraa.e zaruurii to nahii.n raahbar raah musaafir ko dikhaa detaa hai vahii manzil pe pahu.nch jaa.e zaruurii to nahii.n nok-e-har-KHaar KHatarnaak to hotii hai magar sab ke daaman se ulajh jaa.e zaruurii to nahii.n Gunche murjhaate hai.n aur shaaKH se gir jaate hai.n har kalii phuul hii ban jaa.e zaruurii to nahii.n