Sher of Farah Shahid
pūchho zarā ye chāñd se kaise sahar huī
itnī tavīl raat bhī kaise basar huī
puchho zara ye chand se kaise sahar hui
itni tawil raat bhi kaise basar hui
kuchh is tarah qarīb vo aayā mire liye
us kī tavajjoh pyaar meñ chāhat kā ghar huī
kuchh is tarah qarib wo aaya mere liye
us ki tawajjoh pyar mein chahat ka ghar hui
taqsīm phir huī hai virāsat kuchh is tarah
ik maañ zamīñ pe dekhiye phir dar-ba-dar huī
taqsim phir hui hai wirasat kuchh is tarah
ek man zamin pe dekhiye phir dar-ba-dar hui
vo yuuñ to lagtā hai sab ke jaisā
magar judā kuchh janāb meñ hai
wo yun to lagta hai sab ke jaisa
magar juda kuchh janab mein hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
maiñ us kī añkhoñ meñ aise Duubī
ki Duubā koī chanāb meñ hai
main us ki ankhon mein aise Dubi
ki Duba koi chanab mein hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ḳhushiyāñ jo baT rahī thiiñ vo ham ko nahīñ milīñ
aa.ī hamārī baarī to vāpas nazar huī
KHushiyan jo baT rahi thin wo hum ko nahin milin
aai hamari bari to wapas nazar hui
maiñ chāhe us meñ nahīñ huuñ shāmil
magar vo dil ke nisāb meñ hai
main chahe us mein nahin hun shamil
magar wo dil ke nisab mein hai
maiñ kaisī rāhoñ meñ kho ga.ī huuñ
sabhī qusūr intiḳhāb meñ hai
main kaisi rahon mein kho gai hun
sabhi qusur intiKHab mein hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kitnī farāḳh-dil huuñ maiñ 'farah'-jī pyaar meñ
hairat hai us kī chaah meñ kitnī niDar huī
kitni faraKH-dil hun main 'farah'-ji pyar mein
hairat hai us ki chah mein kitni niDar hui
ye mujh ko mahsūs ho rahā hai
'farah' phir koī itaab meñ hai
ye mujh ko mahsus ho raha hai
'farah' phir koi itab mein hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
nahīñ hai ḳhush iztirāb meñ hai
mirā ye dil bhī sarāb meñ hai
nahin hai KHush iztirab mein hai
mera ye dil bhi sarab mein hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
us ne koī sadā bhī to merī nahīñ sunī
merī asar-pazīrī bhī ab be-asar huī
us ne koi sada bhi to meri nahin suni
meri asar-paziri bhi ab be-asar hui